Friday, May 11, 2012

Ek Din Achchanak

Subah ke aath baj rahe hain. Neelu kaafi pareshan si idhar-udhar ghum rahi hai. Kare bhi toh kya? Kuch samajh mein hi nahi aa raha. Neelu ki iss parishaani ko uski saas bhi dekh rahi hai par woh khamosh hai. koi bhi ek-doosre se poochna nahi chahta. Dono ke beech mein pichle ek hafte se cold war chal rahi hai. jo pahle muh kholega woh haar jayega. Pahle bolne se aham jo chakna-choor ho jayega. Isliye dono lucknow ke do nawabon waale ki tarah pahle aap-pahle aap ka turra liye apne  aham ko liye baithi hain. ye dono adig hain ek-doosre ko jhukaane ke liye.
Nau bajne waale they. office ka samay ho chala tha. neelu office jaane ki tyari kar rahi thi. aur saath-saath kichen bhi samet rahi thi uski nigah kabhi ghadi ki suiyon par jaati kabhi darwaaje par. Yon hi intjaar karte-karte das baj gaye. Idhar sahu maa ka bhi sabar ka baandh tut gaya. chilla kar boli, ab subah-subah kahan bhej diya mere bĂȘte ko. Neelu ne palatkar jawab diya. main toh soch rahi thi ki maa ki hi kisi aagya ka palan karne gaye hain. aur fir dono ki bahas shuru ho gayi.
Ye koi nahi baat nahi. ye inka roj ka kissa hai. pichle teen saal se ye hi inke dincharya ka hissa hai. ek hafta thik rahti hain aur fir ek hafte tak cold war. Shayad isi tarah inka khana      pachta hai.  jab dono ka bahas karte-karte gala shukhne laga. toh inki ladai ko bhi ek alpviram mil gaya. kuch der ke liye poore ghar main khamoshi cha gayi. Aur fir dono darwaje ki taraf najar tika kar baith gayi.
Dono ki najaren darwaje kpar aise tiki thi. jaise aurjun ki najaren machali ki aankh par. Isi intjaar main, aadha din nikal gaya. samajh mein nahi aa raha tha ki kya Karen. Neelu ne office mein phone kar ke kah diya ki woh aaj office nahi aayegi. Ghar par kuch jaroori kaam aan pada hai. phir shuru hua phone ka silsila. Neelu ek-ek  karke sabko phone kar rahi thi. aur shantunu ke baare mein  pooch rahi thi.
Pahle usne apni nando ke ghar phone kiya. Aur poocha ki didi ye aapke ghar aayen hain.  didi boli nahi toh. Kyon, kya hua? neelu boli, kuch nahi didi, pata nahi subah-subah uthkar kahan chale gaye hain. kuch batakar bhi nahi gaye. aur abhi tak Koi phone bhi nahi aaya.  Maaji bahut pareshaan ho rahi hain. mujhe bhi chinta lagi hai. dopahar hone ko aai hai. nasta bhi nahi kiya hai. aur kabhi aise baigair bataye kahin jaate bhi nahi. Apna phone bhi saath le kar nahi gaye hain unhe kaise aur kahan contact karun samajh mein nahi aa raha hai.
Did boli kahin tum logon mein fir se kuch kaha suni toh nahi ho gayi. Neelu ne kaha nahi aisa kuch nahi hai. pichle paanch-saat dino se sab kuch cool chal raha tha. thik hai tum chinta mat karo aa jayega. Jaroor koi important kaam raha hoga. Jab aaye toh mujhe bhi ittalla kar dena. Ye kahkar didi ne phone rakh diya. shaam hote-hote neelu ne saare phone mila diye. Lekin shantunu ka kuch pata nahi chala. Thak haarkar neelu ek kone mein baith gayi aur rone lagi.
Ab phone aane ka silsila shuru hua. shantunu ghar aaya sab ka yahi sawal tha. raat hote-hote neelu ki dono nande aur uske maa-pitaji ghar pahunch gaye. Maa-pitaji ko dekh kar neelu jor-jor se rone lag gayi. Nando ko dekhkar saas ne bhi rona shuru kar diya. ab dono mein competition shuru ho gaya jaise ki ro kar ye jatana chahti hon ki kaun shantunu se jyada pyar karta hai. aur kisko uski adhik chinta hai.
Dono apne apno ko lekar apne-apne kamron mein chali gayi. Aur apne dukhde sunaane lagi. Raat ke das baj chuke they. shantunu ka kuch pata nahi tha. kya kiya jaaye? Kya police ko phone kar den. Thane mein report likha den par kahnege bhi toh kya? Koi doodh peeta hua bachcha thode hi hai jo kho gaya. balki ek doodh peete bachche ka baap hai.
Kaafi samajhdaar hai. kaafi smart, sundar, intelligent, shaant, responsible, hansmukh in sabhi khubiyon ko dekh kart oh neelu ke pita ne apni beti ka haath shantunu ke haath mein diya tha. par aaj kya hua uski samajhdaari ko. Koi apni vidhwa maa aur do saal ke bachche aur bibi ko chod kar is tarah jaata hai kya? Neelu aur uski saas mein fir ladai shuru ho gayi. Jab se aai hai jeena haram kar rakha hai. ghar ko panipat ka maidaan samjha hua hai.
Jab dekho jhagda-jhagda, ashaanti faila rakhi hai poore ghar mein. sanskaar naam ki koi cheese hi nahi. bado ka aadar karna toh jaanti hi nahi. hum umar ka lihaj nahi, pata nahi kaise parvarish hui hai. meri  toh kismet hi phooti hai pat nahi kahan fans gayi. Socha tha achchi sanskaari bahu aayegi ghar ko swarg banayegi. Teen jan toh they hum lekin aise kulakshni aai hai ki ghar ka satyanash ho gaya. rishtedaaron ne aana jaana chod diya. erre naukri karti hai toh kya hua? aajkal sabhi karte hain. mere bĂȘte ke jeevan ko nark bana diya hai. shayad isiliye……….. kahte-kahte rone lagi.
Ab baari thi bahu ki, jo itni der se saas ki  bak-bak sun rahi thi. ji toh chah raha tha ki budiya ki gardan maror de par hai ri bebasi kanoon iski ijajat nahi deta na. saara dosh mujh par mad do aap toh jaise doodh ki dhuli hain. ladke ki shaadi toh kar di par aaj tak apne pallu se baandh kar rakha hai. do pal hum saath baithte hai toh chaati par saanp lotne lagte hain. kahin aa-ja nahi sakte. ek-ek cheese ke liye ijajat leni padti hai. jab se iss ghar mein aayi hoon. Chaar diwaron ke kuch aur nahi dekha. Office se ghar aur ghar se office. Aur fir ghar mein kitchen ya fir saas ki chik-chik. Iss se toh achcha tha ki maut aa jaati. Agar ladke ko pallu se hi  baandh kar rakhna tha  toh uski  karne ki kya jaroorat thi.
Badi muskilon se dono ko chup karwaya. Aur ye decide kiya ki kal suba tak nahi aaya toh police mein report kar denge. Sabke sab raat ko wahin ruk gaye. Har koi sone ki koshish kar raha tha. lekin neend shayad us ghar ki chat se hokar nikal gayi. Sabki jahan mein shantunu hi ghum raha tha. har koi use apne tarike se yaad kar raha tha.
Maa----- kitna achcha beta tha mera. Sharvan kumar ko bhi maat deta tha. usne aaj tak kabhi bhi mujh se unchi aawaj mein baat nahi ki. Jab bhi main beemar padti toh ek taang par khada rahta tha. par jab se ye kulakshni aai hai. pata nahi kya jadoo-tona kar diya hai isne. Use cheenk bhi aaye toh achche-achche allopath doctor ko dikhata hai aur mahngi-mahangi angreji dawaiyaan laata hai. aur pichle shardiyon mujhe kitni khansi hui toh mujhe le gaya sarkaari homeopath doctor ke paas. Aur bahut kuch…………………………
Neelu------ shaadi ke baad ke 6 mahine kitne achche gujre they. sab kuch kitna achcha lagta tha. ye mera kitna khyal rakhte they. mujhe ek cheenk bhi aa jaati thi toh seedhe doctor ke paas le jaate they. kisi na kisi bahane se meri taarif karte they. kitna ghumna-firna hota tha par baad mein is budiya ne pata nahi kya vashikaran kar diya. iss baar jab maine hill station jaane ki baat kit oh bole nahi neelu maa ki tabiyat thik nahi hai unhe allopath suite nahi karti. Homeopath se dheere-dheere fayeda ho raha hai. kahin fir se na tabiyat kharab ho jaaye. Erre bahane banana ki kya jaroorat thi. seedhe mana kar dete. Jaroor budiya ne bhadkaya hoga. Maa ka gulam. Aur bahut kuch………………………..
Kusum badi didi------ shantunu toh  itna laparwah nahi tha. fir aaj achanak kya ho gaya . us se badi hone ke baad bhi, ek alag si respect thi uske liye. Pitaji ke dehaant ke baad usne kabhi bhi aisa nahi lagne diya ki pitaji nahi rahe. hamaari har jaroorat ka dhyan rakhna hamaari khushalta aur hamaare shuk-dukh ka hamesha khyal rakhta tha. use laparwah bhi toh nahi kah sakti. Haan kuch dino se pareshaan tha.
Par apni pareshaani ko kisi ke saamne jaahir bhi toh nahi hone deta tha. par kuch baaten toh chupaay bhi nahi chupti. Phir jaise ki maa ki baaton se pata chalta hai ki ghar mein aaye din kalah hota rahata tha. shayad us se hi pareshaan rahta hoga. Ye thik kahte hain, ki aurat chahe toh ghar bana bhi sakti hair aur chahe toh mita bhi sakti hai. jo aurat apne sasuraal ke rang mein rang jaati hai. unki khusi mein khus rahti hai. apne aap ko unke anusaar dhal leti hai. woh hamesha khus rahti hai aur unke ghar aur Dillon par raaj karti hai. lekin jo in basic rules ko follow nahi karti woh khud bhi dukhi rahti hai aur auron ko bhi dukhi karti hai. shayad inhi baaton ko dyan mein rakhte hue pahle jamaane mein ladkiyon ki shaadi  jaldi kar diya karte they.
Kyonki choti umar mein changes kar pana aasan hota hai. ladki apne aapko sasuraal ki tarah dhal liya karti thi. aur fir dhalna bhi ladkiyon ko hi hota hai. ise chaho toh vidambana kaha ya fir kuch  aur. Par logically dekha jaaye toh sahi bhi tha.  ab ek ke anusaar chaar badle iss se toh achcha hai ki chaar ke hisaab se ek  badal jaaye.
Badi umar mein ladki ki apni ek soch kayam ho jaati hai.  aur fir woh use badalna nahi chahti. Aur jo badalne ki koshish karti hain. unhe bhi kaafi samay lgag jaata hai. aaj kal toh late marriages ka chalan sa ho gaya hai.  lekin gambhirata se dekhen to late marriages ke kuch dushparinaam bhi hain. aur shayad isiliye aaj kal ki shaadiyan jyada tik nahi paati. Sabki expectations bad gayi hain. jitna jyada expectation utna jyada dukhi. Har koi lena jaanta hai dena koi nahi.
Jyada age yaani jyada samajhdaari  phir shaadi bhi jyada achche tarike se nibhani chahiye par ho toh ulta raha hai.  shaadiyan pahle ke banispat jyada tut rahi hain. neelu shaadi ke samay 25 ki aur shantunu 28 ka tha. aaj ke hisaab se toh umar bilkul thik hai par 25 ki umar mein badlav aasaan nahi. par shayad samajhdaari se kaam liya ja sakta tha. par na samajhdaari barti neelu ne aur na maa ne. in dono ke jhute ahmoon ki wajah se humne apna bhai kho diya.
Woh jaroor in dono ki kalah ki wajah se chala gaya. woh bechara bhi kya karta. Chakki ke do paato ke beech pis kar rah gaya tha. na maa ko chod sakta tha aur na bibi ko. Na maa use samajh saki aur na biwi. Par kya usne thik kiya. Nahi use aisa nahi karna chahiye tha. woh toh ek responsible ladka hai. fir itna laparwah kaise ho gaya. nahi mera bhai toh laparwah nahi tha. phir haan, nahi , haan,nahi ………..…..  
Sumun shantunu ki choti bahan------- shantunu, suman ko bahut pyar karta tha. dono ek saath bade hue. Dono mein anter bhi keval do saalon ka. Dono bhai bahan kam aur dost jyada. Suman ki shaadi mein kitna roya aankhe suj gayi thi shantunu ki. Dono ek-doosre ko dil ki har ek baat bata te they. har sukh-dukh ko share karte they.
Aaj ek suman hi thi jo chaain ki neend so rahi thi.

**************

1 comment:

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete