Tuesday, March 6, 2012

Blood Group A+

Baat un dino ki hai jab mian collage main padta tha. Ek din main bade bhai aur bhabhi ke saath kisi shaadi  main ja raha tha. Tabhi bhai ka mobile baj utha ek sms aaya tha. Bhabhi ne poocha kiska message hai toh bhai ne bataya ki kisi ko a+ blood ki jarurat hai. Isiliye sabhi  mosbile par message diya hai, agar koi interested ho toh sampark karen.
 Mera blood group a+ hai. Maine bhai se number poocha ki kis ko contact karna hai toh bhai bole chore yaar waise hi der ho rahi hai tu kis lafade main fansne ki soch raha hai. Lekin main jidd karke number le liya aur car se uttar gaya. Maine kaha ki aap log chaliye main aadhe-ek ghante main milta hoon.
Contact karne par pata chala ki accident case ha aur a+ blood ki shakt jaroorat hai. Maine hospital ki ore rukh kiya. Waise toh main koi habitual doner nahi hoon. Par kuch samay pahle mujhe apne ghar main apne papa ke liye blood ki jaroorat padi thi. Us samay mere doston ne meri bahut maddad ki  thi. Par fir bhi kabhi-kabhi aisa samay aata tha jab blood aasani se nahi mil pata tha. Us samay mujhe badi pareshaniyon ka samana karna padta tha.
Blood ki kitni jyada ahmiyat hai un dino ne mujhe shikhaya tha. Aur  aise samay main patient ke  rishtedaaron ka kya haal hota hai iska andaja main bhali-bhanti laga sakta hoon. Mujhe achchi tarah yaad hai ki kisi aise hi samay main fans gaya tha. Raat ke kariban 10 baj rahe they. Mujhe papa ke liye blood ki jaroorat padi. Raat ka samay tha aur kisi ka hospital main pahuchna aasaan nahi tha. Fir main bhi itni raat gaye kisi ko pareshaan nahi karna chahta tha.
Mera aur papa ko blood group same hai. Maine apne aap ko isi bure waqt ke liye bacha ke rakha hua tha. Main blood bank main blood den eke liye pahuncha. Meri haathon ki veins bahut patli hain isliye todi experience nurse ya doctor hi mere veins ko dhundh kar drip ko laga paten hain. Us samay blood bank main jo do nurses duty par thi woh kaafi koshish kar ke bhi meri veins ko nahi dhundh par rahi thi aur main blood nahi de pa raha tha. Veins ko dhundhne ke liye unhone mere dono haatho par teen-chaar baar needle bhi daali par siway meri skin ko puncture karne ke woh kuch kar nahi paai.
Unhone mujhe kisi aur donor ko lane ke liye kaha. Ab  main jara pareshaan ho gaya ki itni raat ko kis ko dhundh kar laaon. Mujhe kuch bhi samajh nahi aa raha tha. Maine  un se request ki woh kisi senior doctor ya senior staff ko call karen. Itni raat gaye mere liye kisi aur ko dhundh kar laana bahut  muskil hain. Nurses ne kaha ki unhone kisi senior staff ko bulane ke liye  message beja hai. Par abhi tak koi reply nahi mila hai.
Mujhe pareshani main dekh kar blood bank main kaam karne wali ke lady mere paas aai aur boli kya baat hai aap bahut pareshaan lag rahen hai. Maine use apni problem batai toh usne kaha ki uska blood group bhi a+ hi hai agar doctor nahi aate hain toh woh apna blood dene ki liye tyar hai. Doobte ko tinke ka sahara par mere saamne toh khud bagwan aakar khade ho gaye they. Maine unhe bahut dhanywad diya maine kaha ki thik hai agar doctor na aaye toh main aap ko sampark karta  hoon.
Kuch der main doctor aa gaya aur unhone meri vien ko dhoondhkar drip laga di aur maine blood de diya. Mujhe us mahila ke khoon ki jaroorat nahi padi. Par us waqt jo unhone meri madad karne ke liye apna haath aage badaya use soch kar aaj bhi mera mann gad-gad ho jata hai. Blood dene ke baad maine us lady  ko uski help ke liye thank kiya aur apne papa ke paas aa gaya.
Aaj iss patient ko musibat main dekhkar main khud ko rok nahi paaya. Hospital main pahunch kar main patient ke rishtedaaron se mila, woh sabhi bahut dhuki they. Maine kaha ki maine aapka sms pada mera blood group a+ hai aur main blood dene aaya hoon. Mujhe dekh kar uneh badi tassali hui. Patient ke father ne  mera shukriy ada kiya. Maine blood diiya aur nikal pada. Jaldi main hone ke karan main patient se bhi nahi mila aur shaadi main jaa  pahuncha.
Agle din subah neend khulne par sochne laga ki erre blood toh de aayy par patient ka kya hua ab uski ki condition kaisi hogi. Ye sochkar phoolon ka ek guldasta liya aur patient ko milne chala gaya. Hospital ja kar pata chal ki patient bilkul thik hai aur hosh main aa taya hai. Itne main patient ke father se mulakat ho gayi. Maine patient se milne ki ichcha jahir ki  toh woh mujhe khusi- khusi uske paas le gaye.
Jaise hi room ka darwaja khola toh main hakka-bakka rah gaya. Bed par anjali lete hui thi, usne bhi mujhe aur mere haathon main phoolon ke guldaste ko hairaan se dekha. Anjali mere hi collage main padti thi. Anjali jitni sundar thi uttani hi ghamandi bhi thi. Centre of attraction bane rahne ki  uski aadat thi. Baaki sab toh thik par mujhe uska ye egoistic nature bilkul bhi pasand nahi tha. Aur shayad isliye hum dono ki do-teen baar jhadap ho chuki thi.
Meri bhi class main ek khas jagah thi. Aur main use koi bhav nahi deta tha aur shayad isiliye woh mujh se kuch jyada hi chidti thi. Woh apni scooty main aur main apni bike main collage aate they. Ek baar toh hum dono main parking ko lekar bhi jhagda ho gaya tha. Usne meri complaint collage princpal  se ki  aur mujhe ek week ke liye suspend kar diya gaya.
Anjali ko dekh kar mujhe collage ka woh incidence yaad aa gaya. Anjali ke dimag main bhi kuch ye sab hi chal raha tha. Itne main anjali ke pita ne anjali ko bataya ki aaj meri hi wajah se woh iss duniya main hai. Kal raat maine hi use khoon dekar bachaya tha. Anjali aaj tak ke behavior par pashtaane lagi aur uski aankho main aanshu aa gaye. Maine istithi ko baanpte hue uska dhandhas bandhaya aur use aaram karne ke liye kaha.
Anjali ka accident uski apni hi scooty ke fisal jaane se hua tha. Accident main uske sar par kaafi chot aayi thi. Uske ek pair ki haddi main fracture ho gaya tha. Jiski wajah se woh do mahine tak collage nahi attend kar sakti thi. Woh iss baat ko lekar bahut dukhi thi, maine us kaha ki tum pareshaan mat ho main tumhe apne notes de doonga. Aur agar koi problem  bhi hui toh samjha doonga. Anjali ki tension kuch hudd tak kam ho gayi. Anjali ke pita ko jab ye pata chala ki hum ek hi collage main aur ek hi class main padte hain toh woh bahut khus hue aur bole ki ab tumhaari wajah se anjali ki padai ka bhi koi    harj nahi hoga.
Main hafte-das din main ek din anjali ke ghar jakar use notes de deta tha jiski wajah se uski studies main koi nuksaan nahi ho raha tha. Combined studies ki wajah se hum dono achche dost ban gaye aur ye dosti kab pyar main badly hamen pata hi nahi chala. Anjali ka attitude bilkul badal chukka tha. Hum dono jo ek-doosre ki shakal dekhna bhi pasand nahi karte they ab ek-doosre ko dekhe bina rah nahi paate they.
Ab collage main bhi hum aksar ek hi saath dekhe jaate they. Yahan tak ki sab saathi ye kahne lage they ki mujhe dhundna ho toh anjali ko dhundh lo aur anjali ko dhundhna ho toh mujhe dhundh lo. Kyonki yaa toh hum dono ek hi saath hote they aur gar kisi wajah se saath na hon toh ek ko pata hota tha ki doosra kahan hai.  
Aaj pandrah saal baad bhi main anjali ko ye kahkar chedta hoon ki woh toh hamaara khoon tha jisne tumhe itna romantic bana diya warna romance kis chidiya ka naam tha ye tum jaanti bhi na thi.  Pandarah saal baad ji haan aaj woh shaadi suda hai aur mere hi do bachcho ki maan bhi. Meri dharm patni anjali mera pahla aur aakhri   pyar.
*******

No comments:

Post a Comment