Tuesday, March 20, 2012

Anirudh ya Henry

Anirudh aaj fir se ghar se tension mein nikala. Ye bhi koi jindagi hai. Ghar se office aur office se ghar, no koi excitement no koi change, bilkul monotonous. Aisa jaise kisi taalab ka thehra hua paani jismein koi hal chal nahi.  ruka hua hai kisi rahgir ke intjaar mein, ki koi aaye aur ek pathar uchachal kar fainke usmein, toh kuch der ki liye sahi uthal-puthal ho jaaye usmein.   ya fir baitha rahata hai intjaar mein  aankhe bichaye aur  haath failaye hue un baadlon ke, jo uske upar se gujarte hue kabhi toh us par maharbaan ho jaayen. Aur fir se woh ek baar bhar jaaye upar tak aur chu le un kinaron ko jinse mile hue ek  jamana bit gaya hai. aur gar bhar bhi na paaya toh bhi kuch samay ke liye hi sahi ek badlaw aa jaye uske jeewan mein.
        meri hi galti hai maine hi gharwalon ki baat maani hi kyon? Achchi bhali us ki naukri inke bahkaave main aakar chod di aur gale main sapna naam ki ghanti baandh li. Aur apne jeewan ke sapne ka gala ghot kar use chakna chur kar diya. Aaj us main maje kar raha hota, discos, pubs, scooba diving, para climbing aur jaane kya-kya? Saare dost mere wahin toh hain. Aur main aaj jindagi ki iss boring gaadi ko kheench raha hoon. Ab opportunity roj-roj thode hi na milti hai.?
Kaas ek baar fir se mauk mil jaaye toh sabkuch chod kar bhag jaoon. Anirudh is uded bun mein laga tha ki achanak uski bike ek tark se takra gai aur Anirudh ka accident ho gaya. Anirudh ko hospital mein le jaya gaya. Anirudh  ko jab hosh aaya toh usne apne  aas-paas khade logon ko dekha par kisi ko bhi nahi pahchn paya.
Anirudh pareshaan hone laga ki  woh kahan hai. Uske aas-paas ye firangi kya kar rahe hain. Woh sabko ajeeb nigahon se dekh raha hai aur iss bheed mein kisi apne ko dhundh raha hai. Hello Henry, how are you? How are you feeling? What happened to you? Are you all right? Anirudh soch raha hai ki ye log kaun hain? Aur usko Henry kyon bol rahe hain? Yeh budda aur budiya jo use pyar se sahla rahen hain ye kaun hain? Aur woh is samay kahan hai?
Usne doctor se poocha where is he? Who are these people? Doctor ko laga ki accident ki wajah se Henry kuch alag behave kar raha hai. Doctor ne kaha ki you are in hospital Henry. You have met with an accident. But don’t worry you will recover soon.  Henry ! Who is Henry? My name is Anirudh sharma where are my parents, my wife and my daughter.
What are you talking about? Here are your parents mr. And mrs. Symonds and your wife and daughter. What are you talking? You have not been married so far and Anirudh who is Anirudha sharma? Ab ise Henry bola ya Anirudh iske dimag ne kaam karna band kar diya aur ye irritate hone laga aur usne apna sar pakad liya. Doctor ne  use aaram karne ki hidayad di aur sabko jaane ke liye kah diya. Henry ke parents mr. And mrs. Symonds ghabra gaye. Doctor ne unhe samjhaya ki dimagi chot hai aur kabhi-kabhi aisa ho jata hai.
Humen kuch test karne padenge. Uske baad hi hum kuch kah sakte hain. Aapko toh khush hona chahiye ki aapka ladka bach toh gaya. Ab tak sab thik hai aur aage bhi sab thik hi hoga. Idhar sab ke jaane ke baad Anirudh ne nurse se poocha ki what is the name of this hospital and where is it situated. She replied this franklin hospital of washington dc. Ye sunte hi Anirudh ke hosh ud gaye use apne kaano par viswas nahi hua. Woh apni purani yadoon main kho gaya. Usne ek sire se sochna shuru kiya ki uske saath kya hua par koi bhi kinara use us tak nahi pahunchata tha. Use kuch samajh main nahi aa raha tha ki ye sab kya ho raha hai aur woh yahan kaise pahuncha aur ye sab log kaun hai aur use Henry kyon kah rahe hain. Ye sochte-sochte use neend aa gayi.
 agle din morning mein, Anirudh utha aur washroom gaya usne jaise hi apna chehra shishe mein dekha woh jor se chillaya uska shor sunkar nurse daudkar kamre main aai aur seedhe washroom mein pahunchi aur boli what happened? Anirudh bola what happened to my face? Nurse boli nothing its just a scratch. We have stitched it. There was a deep cut but don’t worry these stitches will dissolve in few days. You won’t find any scar here. Anirudh bola iam not talking about the cut. Iam talking about the face. This is not mine. Where is my face? Have you done the plastic surgery?
Nurse hansne lagi aur wahan se chali gayi. Henry ki saari reports normal aa rahi thi. Doctor pareshaan they ki Henry kisi ko pahchaan kyon nahi raha hai. Henry ne unhe samjhane ki koshish ki woh Henry nahi hai uska naam Anirudh sharma hai. Woh ek indian hai aur india mein rahta hai uski ek family hai jo india mein hi rahti hai. Woh yahan kaise aaya use nahi pata. Lekin doctor uski in baaton ko samajh nahi paa rahe they ki kya ho raha hai. Henry apne logon ko kyon nahi pahchaan raha aur jin logon ki ye baat kar raha hai unke saath  Henry ka kya rishta hai.
Mr. And mrs. Symond ne bataya ki woh kabhi bhi india nahi gaye hain aur Henry ka koi bhi dost indian nahi hai aur Henry ka door-door se bhi koi  wasta india se nahi hai. Anirudh bhi ab thak chukka tha sabko samjha-samjha ke par koi bhi uski baat par yakin nahi kar raha tha. Thak haar kar usne ek chuppi saadh li. Use samajh nahi aa raha tha ki woh in sab logon ko kya samjhaye aur kaise samjhaye par sach toh ye tha ki use khud bhi abhi tak samajh nahi aa raha tha ki asal mein ho kya raha hai.
Isi beech ek din Anirudh ne sab se bach kar apne ghar india mein phone kiya aur apne papa se baat karne ki koshishi ki. Wahan india mein Anirudh ke papa ne use badi jor se daant lagai ki iss tarah ka ganda majaak karte hue tumhe sharam aani chahiye. Hamaara beta toh hospital main admit hair aur coma mein pada hai. Aur tum kah rahe ho ki tum mere bĂȘte bol rahe ho. Khabardaar doobara mere ghar mein phone kiya toh.
Anirudh aur bhi pareshaan ho gaya ki agar Anirudh india mein hai toh woh yahan jo us mein hai kaun hai? Usne ab sab kuch samay par chod diya aur jaise doctor kahne lage chupchap karne laga. Kuch hi dino mein doctors ne use discharge kar diya aur woh Henry banker Henry ke ghar aa gaya. Henry kaafi rich tha. Henry ka life style Anirudh se kaafi different tha. Kuch aisa hi jaise ki Anirudh ne hamesha se kalpna kit hi. Anirudh dheere-dheere Henry mein dhalne laga aur uski dincharya ko apnane laga.
Parties, disco, pubs, scooba diving, horse riding aur woh sab kuch jo woh kabhi karne ki sochta tha. Life jeena ka maja aane laga. Aakhirkaar jo woh hamesha se chahta tha use mil gaya tha. Life ek jannat ki tarah lagne lagi thi. Woh bahut khus tha aur life ko enjoy kar raha tha.  Par kab tak har roj gaajar ka halwa nahi khaya ja sakta. Kuch samay ke baad use ye life bhi boring lagne lagi.  Western culture morden hone ke saath-saath wahan ki life  bahut fast bhi hai. Woh sabhi indians jo indian culture mein pale-bade hote hain is atmosphere mein adjust nahi ho paate.
 ab dheere-dheere Henry Anirudh ko miss karne laga. Use yahan us mein  logon ka itna practical hona chubne laga. Jo kabhi indians ko emotional fool kahta tha. Apne ird-grid emotions ko dhundhne laga. Use lagne laga ki  kaash woh Anirudh hi hota toh achcha tha. Wahan india mein saare rishte kitne apne lagte hain. Ghar walon ka caring attitude doston ka apnapan toh yahan dhundhne se bhi nahi milta. Uske saare ke saare shauk pure ho gaye they. Ab use lagne laga tha ki woh ye jindagi nahi jeena chahta tha bas use apni  in ichachaoon ko pura karna tha.
Life toh use india wali hi chahiye thi jahan woh jab chahe kisi bhi dost ya rishtedaar se mil leta tha. Kisi se appointment nahi leni padti thi. Jahan pados ke verma ji subah ka akbaar babuji ke saath padne aate they aur kam se kam do-teen chai ke baad hi uthana, woh maa aur sapna ka sabji waale ke saath ek-ek tamatar ki liye bahas karna aur dhaniya aur mirch toh sabji ke saath free milti hai kahkar apne beg mein dalwa lena, woh nukkad ke pappu tea stall ki chai aur shaam ko doston ke saath carrom board khelna  in sabhi choti-choti baaton jismein kahin jindagi ki dherron khusiyan chupi thi jinko woh aaj tak najar andaaj karta chala gaya tha ko miss karne laga tha. Woh soch raha tha ki kash usne kabhi iss jeewan ki kaamna na ki hoti toh kitna achcha hota. Shayad uski inhi ichachaon ko pura karne ke liye bhagwaan ne uske saath ye khel khela hai.
Henry in sabhi  baatoon ko soch raha tha aur pastah raha tha ki kash woh Anirudh hi hota toh kitna achcha hota ki tabhi alaram bajne laga. Aur ek awaj aai, Anirudh utho kab tak sote rahoge. Suraj chad aaya hai. Office jana hai ya nahi. Chai thandi ho gayi hai pahle hi teen baar garam kar chuki hoon.
Anirudh ne aankhe kholi saamne sapna khadi thi. Anirudh ko samjhte der na lagi ki woh ek sapna dekh raha tha. Usne apni sapna ka haath kheencha aur bahon mein le liya aur bola aaj bolo toh chutti kar loon.

******************

No comments:

Post a Comment