Thursday, August 4, 2016

Badi Bahu

Badi Bahu
Har taraf chahal pahal thi. Har koi vayasth tha. kisi  ko bhi saans lene ki fursat nahi thi. Ramu kaka abhi tak phool nah aaye. Aa rahe hain badi bahu. Banshi kaka mithai ka kya hua, aadhi tyar hai aur baaki ban rahi hai. Halwai ko bolo ki jaldi- jaldi haath chalaye. Shyamu dulhan ke gahne  nahi pahunche. Jara sunhaar ko bulawa bejo, bolo badi bahu ne bulwaya hai. Radha abhi tak haveli ki safai nahi hui. Abhi hui jaati hai badi bahu.
Badi bahu ek-ek karke harek naukar ko kaam bata rahi hai. Sab taraf  bhag-daud lagi hai. Aakhir kyon na ho aaj badi bahu ki eklauti beti Anjali ki shaadi hai. Badi haveli mein badi bahu   apne pati  Thakur Vikram Singh  aur unki maa  ke saath rahti hain. Par badi haleli mein hukum sirf badi bahu ka chalta hai. Aur choti haveli mein Thakur Ranjeet Singh, Thakur Vikram Singh ke chote bhai apne parivaar ke saath rahte hain.
Thakur Ranjeet Singh hi jameen jaidaad ke kaam dekhte they. Thakur Vikram Singh sirf naam ke Thakur they. Saara kaamkaaj Ranjeet Singh dekhte they. Unka raub aur unka dar poori riyasat mein faila hua tha. Shaam hone ko chali thi aur  Haveli ki sajawat ka kaam abhi bhi chal raha tha. Badi bahu kabhi shaadi ki rasmon ko nibhati aur kabhi shaadi ka kaamkaj  dekhti. Poori haveli dulhan ki tarah saji hui thi.
Saara kaam poora hone par  badi bahu ne poori haveli par ek najar daali ki kahin koi kami toh nahi rah gayi. Haveli ko iss tarah saja dekh badi bahu ko apne purane din yaad aa gaye. Aur woh  pareshaan ho gayi. Unka saara sharir paseene se bheeg gaya. Unhone apne kamre ki ore rukh kiya. Itne mein badi bahu ki najar Anjali par padi. Jo puri tarah se tyar ho chuki thi. dulhan ke jode main woh Bilkul badi bahu ka pratibimb lag rahi thi. Badi bahu ko aisa laga jaise Anjali ke roop mein Anjali nahi woh khud kadi hain.
Woh jor-jor se chilane lagi. Aur chillate-chillate apne kamre ki ore daud padi. Unhone apna kamra ander se band kar liya. Aur kamre ka saara saaman idhar-udhar fainkne lagi. Badi bahu ka shor sunkar saari haveli mein khamoshi cha gayi. Sab pareshaan ho idhar-udhar ghumne lage. Har koi ye hi soch raha tha. Ki badi bahu ko kaise shaant Karen. Baarat ka aane ka time ho chala tha.
Shaare rishtedaaron mein kaanafusi shuru ho gayi. Badi bahu ka shor sunkar radha Thakurain ke paas pahunchi. Aur boli Thakurain badi bahu ko fir se daura pada hai. Thakurain hairaani se boli daura lekin aaj toh pooranmasi nahi hai. Ab kya hoga badi bahu ko toh thik hone mein do-teen din lag jaate hain. Baarat aane wali hai.  Hum logon ko kya kahenge…..
Aaj se thik 25 saal pahle, kartik maas ki pooranmasi ko Thakur Vikram Singh aur badi bahu ki shaadi hui thi. Thik tabi se har poorinma ko badi bahu ko daura padta hai. Aur unhe normal hone mein do se teen din lag jaate hain. Badi bahu in dino ke dauraan apne aap ko kamre mein band kar leti hain. Aur fir rah-rahkar kamre se chillane ki awaajen aati rahti hai aur kabhi kisi samaan ke tutne ki.  25 saalon se ye sil-sila yon hi barkaraar hai. Aisi haalat mein koi bhi badi bahu ke saamne nahi jaata. Khaana-peena bhi unhe khidaki se diya jaata hai.
Jo koi bhi kamre mein ghusne ki koshish karta hai. Badi bahu usi par koi saaman faink deti hai. Aaj tak pata nahi kitne naukron ke sar, mathe, haath aur paire tut chuke hain. Do-teen din ke baad sab thik ho jaata hai. Darwaja apne aap khul jaata hai. Badi bahu har kisi ka khyal rakhti hai. Unhe har kisi ki chinta rahti hai. Sabhi badi bahu ki bahut ijjat karte hain. Unhe sammaan dete hain. 
Sabhi log badi uljhan mein hain ki badi bahu ke baigair shaadi ki rashmein puri kaise hongi. Lekin badi bahu ko shaant karna bhi muskil tha. Anjali ne apne pita Thakur Vikram Singh ko maa ko shaant karne ke liye kaha. Thakur vikaram Singh ne ashamartha dikhai. Waise bhi badi bahu apne pati Thakur vikram  Singh se kabhi baat nahi karti thi. Thakur Ranjeet Singh jinse saari riyaya kaampti thi. Woh bhi badi  bahu ke saamne  haath bhandhe kade rahte they.
Anjali ko apni maa ka ye vyvahaar kabhi samajh nahi aaya. Uski maa ka kabhi bhi kisi ne illaj nahi karwaya. Ye bhi woh kabhi nahi samajh paai. Sab ko pareshaan dekhkar Anjali badi bahu ko shaant karne chali gayi. Kisi naukar ki madad se roshandaan se haath dalkar darwaja khulwaya gaya. Jaise hi Anjali ander ghusi. Badi bahu ne paas rakha guldaan Anjali ke upar faink diya. Guldaan Anjali ke maathe par laga aur uske maathe se khun nikalne laga.
Anjali ghabrai nahi aur badi bahu ke paas jakar baith gayi. Badi bahu ne fir se kuch aur uthakar anjali par faikna chaha toh unki najar anjali ke maathe se nikalte hue khoon par padi.  Anjali ka khoon dekh kar badi bahu ka paagalpan achanak gayab ho gaya. Usne Anjali ko seene se laga liya aur dono maa-betiyan rone lagi. Thoda sambhalne ke baad Badi bahu khadi hui Anjali ka khoon saaf kiya aur us par patti baandh di. Anjali ne maa se poocha ki tumhe ye kya ho jaata hai. Badi bahu ne baat ko taalne ki bahut koshish ki lekin Anjali apni baat par adi rahi.  Anjali ne kaha ki maa mujhe hamesha se aisa lagta hai ki tum bahut kuch apne ander samaye hue ho. Aaj jab tak aap mujhe sab kuch sach nahi bataogi main mandap par nahi jaaongi aur ye shaadi nahi hogi.
Anjali ke bahut jidd karne par badi bahu ne bolna shuru kiya. Beta tum jaanti ho ki main bhi ek Thakur parivaar ki beti hoon. In Thakuron ki  haveliyaan jitni badi hoti hain. Inke aham bhi utne hi bade hote hain. Ye apni jhuti shaan ke liye kisi bhi hadd tak jaa sakte hain. Inki jhuti shaan ki aan-baan rakhne ke liye pata nahi kitno ne apne jeevan ko in haveliyon ki badi-badi diwaaron ki peeche dafna diya hai.  Main bhi inhi mein se ek hoon. Mera saara bachpan bhi inhi haveliyon mein bade aaram se gujra par jawaani mein kadam rakhne par pata chala ki mere pita ne apni jhuti aan-baan bajaye rakne ke liye Thakur Ranbeer Singh yaani tumhaare dadaji se kaafi karj le rakha tha.
Karj na chukka sakne ki haalat mein mere pita ne mera vivah Thakur Ranbir Singh ke bade bête Thakur Vikram Singh se kar diya. Jiske avej mein mere pita ka saara karj maaf kar diya gaya. Har ladki ki tarah maine bhi apne jeevan saathi aur vivah ke upraant apne jeevan ke liye bahut se sapne sajaaye they. Par shayad kismet ko kuch aur hi manjoor tha. Meri shaadi kartik maas ki poorinma ke din hui thi. Par pooranmaasi ka chaand mere jeevan mein roshne ke badle amavashya ki kaali chaya lekar aaya.
Main suhag ke sej par baithkar apne aane waale jeevan ke achche palon mein khoyi apne dulhe ka injaar kar rahi thi. Itne mein kisi ke pairon ki aahat sunkar main chaukanni ho gayi. Maine ghunghat nikal liya.  Kamre main ek chiraag  jal raha tha. Unhone kamre main aakar kamre ke chirag ko bujhakar roshni ko aur kam kar diya. Uske baad jo kuch hua usne meri shaari duniya badalkar rakh di. Mere saare kwabon ko chakna chur kar diya. Dulhe ki jagah unka chota bhai Thakur Ranjeet Singh hamaare saamne khada tha. Usne hamaare saath jabbardasti ki aur hamaari asmat ko lut liya.
Aur fir haamari saari kaynaat ko apne kadmon ke tale rondhte hue chala gaya. Hamen samajh mein nahi aa raha tha ki aisi haalat mein hum kya Karen. Kis se shikayat Karen aur kahan jaayen. Puri haveli mein hamaare dulhe Thakur Vikram Singh ka ata-pata nahi tha. Bahut himmat karke ye baat humne apni saas ko batai. Unhone sab kuch bhul jaan ki salah di. Ye baat hum apne ghar waalon ko nahi bata sakte they. Kyonki Thakuron ki dushmani ke baare mein hamen pata tha. Choti-choti baaton ke liye gharaane barbaad hote dekhe they humne. Phir itni badi baat. Kitna katle aam hota kitni laashe girti. Ye sab sochkar maine apne dil ke dard ko apne hi ander samet liya.
 Lekin shayad abhi kismet mein bahut kuch dekhna likha tha.  Maine jab ye baat Thakur Vikram Singh ko  batai toh woh sar jhukaye mere saamne kade rahe. Unhone ek baar bhi Thakur Ranjeet Singh ke khilaaf kuch nahi kaha. Usi din Thakur Vikram Singh meri najaron se gir gaye. Main soch kar hairaan thi ki ye kaisa Thakur hai jo apni patni ki raksha bhi nahi kar sakta.
Main bhetar hi bheetar ghutati rahi. Mere andar krodh ki jwala bhadak rahi thi. Lekin main kuch na kar saki. Mujhe haveli ke ek kone mein band kar diya gaya. Main kisi se bhi nahi mil sakati thi. Naukar chakar mere paas nahi aa sakte they. Main jaise taise apne aap ko sambhal rahi thi. Par fir Thakur Ranjeet Singh ne mujh par hamla kar diya aur main lut ti chali gayi. Aisa tab tak hota raha ki jab tak tum mere garbh mein nahi aa gayi. Jis din Thakurain ko viswas ho gaya ki main maa ban ne wali hoon. Us din ke baad se Thakur  Ranjeet Singh ne mere paas aana chod diya. Ye sabkuch mere pati Thakur Vikram Singh aur Thakuraain ki rajjamandi se ho raha tha.
Mere maa banne ki khabar sab jagah faila di gayi. Aur saari haveli aur saari riyasat mein khusiyaan manai jaane lagi ki Thakur Vikram Singh baap  ban gaye hain. Ek taraf haveli mein khusiyan manai ja rahi thi aur Thakur Vikram Singh chaati phulaye ghum rahe they. Aur doosri ore mere tann mann mein aag jal rahi thi. Aur main apne jeevan ko khatam karne ka tarika dhundh rahi thi. Par tabhi mujhe tumhara khyal aaya ki apne aap ko khatam karke main tumhara jeevan bhi khatam kar rahi hoon.
Mere ander ki mamta jaag uthi. Aur maine aatamhatya ka vichaar chod diya. tumhaare garbh mein aate hi mujhe haveli mein poora sammaan milne laga. Mera poora khyal rakha jaata. Beesiyon naukar chakar meri chaakri mein lage rahte. Mujhe samajh mein nahi aa raha tha ki ye sab kya ho raha hai. Kal tak toh in logon ne mera jeevan tabah kar ke rakha hua tha. Aur aaj mujhe aisa samman mil raha hai. Lekin jab mujhe sachchi ka pata chala toh mere pairo tale jameen khisak gayi. Mere upar se aasmaan hat gaya. Meri saanse band hone lagi jaise mere ander vayu ka sanchaar bandh ho gaya aur mein butt si bani rah gayi.
In Thakuron ne apni jhute aham aur jhuti shaan ke liye     mera jevvan barbaad kar diya.  Thakur Vikram Singh janam se napunsak they. Meri shaadi ek napunsak se hui thi. Bachpan se jawaani tak toh Thakuron ne ye baat chupa li. Par jawaani mein ye baat kaise chupe. Iska koi bhi tarika unhe suje nahi raha tha.  Aur fir iss chausar ka mohra mujhe banaya gaya. Vivah toh ho gaya par ek napunsak ko santaan kaise hogi. Isliye unke chote bhai Thakur Ranjeet Singh ko mere kamre main bejha gaya.
Aur Thakur Ranjeet Singh ki aulad ko Thakur Vikram Singh ki santaan batakar Thakur Vikram Singh ka sach duniya se hamesha ke liye chupa liya gaya. Thik usi din se jab bhi poorinma ki raat aati hai. Toh chaand ki chandni mere saare tann-mann ko chalni kar deti hai. Mujhe apne saath hue viswasghaat par dukh hota hai.  Main apne saari sapno aur khawabo ko apne saamne tuta aur bikhra hua dekhti hun. Aise mein mera dimaag kaabu mein nahi rahta aur main paagal si ho jaati hun. Badi bahu apni kahaani sunakar phut-phut kar rone lagi.
Anjali ko jab apne aur apni maa ke sach ka pata chala toh uske hosh ud gaye. Woh jinko aaj tak apna pita maanti aai thi woh uske pita nahi they. Usko aaj apna astitva hi jhoota lag raha tha. In Thakuron ne uski maa ko hi nahi use bhi dhoka diya tha. Woh samajh nahi paa rahi thi ki woh kis baat ka jayada dukh manaye apni maa ke sach ka ya apne sach ka.  Woh chupchap jakar shaadi ke mandap par baith gayi.  Logon ne poocha ki badi bahu kahan hain toh Anjali ne kaha ki maa ki tabiyat thik nahi unhe rest karne do. Uska vivah sampann ho gaya. Woh jaane se pahle maa ke paas aashirwad lene aai. Woh maa se gale lag kar bahut roi, Use apni maa ke liye bada bura lag raha tha.  
Jaate hue Anjali ne sabse aashirwad liya lekin Thakur Vikram Singh aur Thakur Ranjeet Singh ko grena kin ajar se dekha aur unka bagair aashirwad liye doli mein baith gayi.
Shayad Thakur Vikram Singh aur Thakur Ranjeet Singh ko samajh mein aa gaya ki Anjali ne unse aashirwaad kyon nahi liya.
Idhar Anjali ki doli uthi udhar badi bahu ke praan pakheru ud gaye. Sirf ek Anjali hi thi jiske liye woh  aaj tak ji rahi thi.
***************


Wednesday, May 21, 2014

My Stories: Abhay

My Stories: Abhay: Knock-knock… Kaun, come in Kya hum ander aa sakte hain?   Arre jijaji! Ander aaiye na, kyon sharminda karte hain. Aapko bhi kya kn...

Abhay


Knock-knock…
Kaun, come in
Kya hum ander aa sakte hain? 
Arre jijaji! Ander aaiye na, kyon sharminda karte hain. Aapko bhi kya knock karke aur pooch kar aane ki zaroorat hai.
Bhai knock karna toh manners kahlaate hain aur jahan tak poochne ki baat hai yahan ke maalik aap hain poochna toh banta hai.
Chodo jijaji aap ko toh taang kheenchne ka mauka chahiye. Chalo ye batao ki kaise aana hua.
Kyon bhai hum apne saale se milne nahi aa sakte. Milne par ticket laga rakhi hai  kya?
Jijaji aap fir se shuru ho gaye. Lagta hai aaj mood main ho.
Hum toh hamesha hi mood main rahte hain. 
Khair aaj toh hum tumhaari jiji ka hukum bajane aaye hain. Unka hukum hai ki shaam ko tumhe ghar lekar pahunchun warna darwaja nahi khulega. Bahut din hue tumse mulakaat nahi hui. Jija ji  aaj kal thoda kaam bad gaya hai. Isliye late sitting karni padti hai. Fir ek-do assistant kyon nahi rakh lete. Jijaji bola hai ek consultant ko usne kuch biodatas bhi beje hain. Achcha yaad dilaya aapne, aap mujhe jara do minutes do main wind-up kar lun toh fir chalte hain.  Haan haan kyon nahi.
Abhay ne phone uthaya jara gupta ji ko mere cabin main bejo. Aur Abhay apna saaman samet ne laga.  Gupta ji, may I come in sir haan-haan ander aao. Gupta ji woh office assistants ke liye jo biodata aayen hain, usmain se jo freshers ke biodata hain unhe shortlist karke interview ke liye bulao. Gupta ji bole sir freshers ko, haan haan bhai freshers ko. Lekin sir unka experience, erre bhai har koi ye hi sochega toh new comers ko naukri kaise milegi aur naukri milegi nahi toh experience kahan se aayega. Achcha main ja  raha hoon baaki kaam ab kal.
Meri aaj ki saari appointments cancel kar do. Lekin sir Mr. Singhaniya toh aapka wait kar rahe hain. Par mujhe toh jana tha. Fir sir unko kya kahun. Pahle bhi do baar unke saath meeting cancel ho chuki hai. Erre kya hua? Jijaji woh ek jaroori meeting hai, thik hai kitna samay lagega? Jyada nahi aadha-pauna ghanta chalo koi baat nahi tum niptaao main yahin tumhaare cabin main wait karta hoon. Sorry jija ji, koi baat nahi jaldi jao aur jaldi aao.
Abhay conference hall main chala gaya. Aur main wahin baitha uske cabin main uska intjaar karne laga. Aaj Abhay kitna busy hai. Aaj woh doosron ko naukri de raha hai. Aur kuch samay pahle ki baat hai woh khud naukri dhundh raha tha. Experience na hone ke karan use koi naukri nahi mil rahi thi. Maine hi apne dost ko kahkar use uski pahle naukri dilwai thi. Abhay ek middle class family ko belong kar ta tha. Ma-pitaji ki akasmaat mritu ke baad ghar ki saari responsibility Abhay ke kandho par aa gayi.
Abhay ne apni padai chod di aur naukri dhundhne laga. Abhay kaafi swabhimaani ladka hai. Woh nahi chahta tha ki uske chote bhai aur bahan ki jimmedari koi aur le. Yahan tak ki usne apni badi bahan kadambari, jo shadi suda hai, se bhi koi madad lene se mana kar diya. Abhay us samay post graduation kar raha tha. Jab uske parents ki maut ek accident main hui. Usne regular college chod diya aur post graduation correspondence se karne laga. Par experience na hone ke karan koi naukri nahi mil rahi thi.
Aise main Abhay ko naukri mere ek dost ki help se mili. Abhay ko assistant cum personal secretary ka kaam mila. Aur iss kaam ke liye Abhay ko Mr. Choudhary ke ghar jana padta tha. Mr. Choudhary adha din office main aur aadha din ghar par kaam karte they. Darasal choudharyji ki wife bahut bimaar thi. woh apni wife ko bahut pyar karte they isliye apni wife ki har choti aur badi jaroorat ka khyal khud rakha karte they.  Aur isliye aadha din office main aur aadha din ghar par kaam karte they. Taaki  woh apni wife ke saath rah sake. Choudharyji ko ek assistant chahiye tha jo unke ghar par aakar kaam kar sake.
iske liye unko ek imaandaar aur sharif insaan ki jaroorat thi. Mere dost ki sifarish par choudary ji ne ye naukri Abhay ko de di. Ab Abhay subah padta aur dopahar ke baad choudhary ji ke ghar kaam par chala jata.  Choudhary ji ki ek ladki thi Surabhi  jisne abhi-abhi collage main admission liya tha aur ek beta Saurabh jo seventh class main padta tha. Abhay ko choudhary ji ke ghar se nikalte-nikalte raat ho jaati thi. Ghar aate-aate itna thak jaata tha ki apne chote bhai bahno ki padai ki taraf dhyan  nahi de pata tha. Bas kabhi-kabhi unki choti moti problem hi solve kar pata tha. Kartik aur kritika dono hi bahut jahin they. Woh samajhte they ki bhai ke paas  jyada samay nahi hota. Isliye woh  apni padai bahut achche dhang se kiya karte they. Aur hemesha class main avval aaya karte they.
Ek din ki baat hai. Choudhary ji ka beta lawn main ghum-ghum kar kuch yaad kar raha tha. Abhay wahan se gujar raha tha  toh uske kaano main kuch shabd pade. Usne Saurabh se poocha ki kya kar rahe ho toh woh bola ki bhaiya kal maths ka test hai isliye kuch theorems yaad kar raha hoon. Mathematics aur yaad, in theorems ko samajh kyon nahi lete. Maths koi yaad karne ka subject thode hi hai. Bhaiya samajh main hi nahi aati. Fir apni didi se kaho us se samajh lo. Didi thik se nahi batati , bahut daant ti hai. Aur fir kahti hai ki samajh main nahi aata toh yaad kar lo. Fir jab daant khane ke baad yaad karna hi hai toh iss se achcha hai ki baigair daant khaye hi yaad kar lun. Abhay uski baat sunkar hansne laga.
Abhay ne  kaha dikhao hum dekhen iss main kya hai. Baitho main bata ta hoon. Abhay ne samajhana shuru kiya, chote-chote examples liye. Iss se Saurabh aasani se samajh gaya. Udhar Mr. Choudhary Abhay ka intjaar kar rahe they. Amuman Abhay kabhi late nahi hota ye hi sochte-sochte jab woh bahar aaye toh unhone dekha ki Abhay Saurabh ko pada raha hai. Aur saurbh bade hi dyan se pad raha hai. Toh woh baigair bole ander chale gaye. Kuch der baad Abhay ander aaya aur apne kaam main lag gaya.
Us din ke baad Saurabh kai baar Abhay se maths ki problem poochne aa jata tha. Abhay bade pyar se Saurabh ko samjhata tha. Saurabh padai main interest lene laga aur achche marks score karne laga. Saurabh ke achche marks dekar Mr. Choudhary ne saurbh ki padai ki jimmedari Abhay ko permanently de di. Ab Abhay pahle ek ghante saurbh ko padata tha aur fir apna kaam shuru karta tha. Choudhary ji Abhay se bade impressed they aur baat-baat par apne bachchon ko Abhay ka example dete they. Saurabh toh bada khush hota tha kyonki ek toh Abhay use padaya karta tha. Kabhi-kabhi uske saath khela bhi karta tha aur khali samay main kahani- kisse bhi sunaya karta tha par Surabhi ko bada gussa aata tha. Kyonki Abhay ki achchai ki wajah se use baar-baar daant khani padti thi.
Woh Abhay ko pasand nahi karti thi. Use Abhay ko dekhte hi gussa aa jaya karta tha.  Ek din ki baat hai Abhay Saurabh ko pada raha tha. Ki achanak use ghunghuron ki aawaj sunai di. Usne Saurabh se poocha ki kaun naach raha hai.  Didi naach rahi hai uske college main ek competition hai.  Woh badi confident hai ki woh jeet jayegi. Pichle do saalon se classical dance jo seekh rahi hai. Ye uska pahla competition hai. Aur isiliye aajkal ghar main practice shuru kar di hai. Saare din bhar cham-cham, cham-cham. Chalo aapko dikhata hoon kaise naachti hai. Nahi nahi rahne do, par saurbh Abhay ka haath kheench kar upar le gaya.
Upar jakar Abhay ne dekha ki Surabhi ne cassette chala rakhi hai. Aur us music par naach rahi hai. Choudhary ji ne saurbh ko upar jaate hue dekh liya tha. Isliye woh bhi Abhay ke peeche ho liye. Darasal upar ke floor par jana kisi ko bhi allowed nahi tha. Aur ye baat unhone pahle hi din clear kar di thi. Udhar Abhay Surabhi ko dance karte hue dekh raha tha. Achanak usne kaha ki galat kar rahi ho. Itna sunte hi Surabhi ne dance rok diya. Tum! What are you doing here? Don’t you know nobody is allowed at first floor. Aur fir sharm nahi aati kisi ladki ke kamre main taank-jhaank karte hue.
Woh woh main khud nahi aaya. Saurbh mujhe kheench kar le aaya tha. Kya tum doodh peete hue bachche ho jise woh godh main pakad kar le aaya, Surabhi gusse se boli. Aur ye mathematics nahi hai classical dance hai jo kah diya ki galat hai. Aur ab kah diya hai ki galat hai toh thik karke dhikhao. Abhay chup ho gaya usne sar jhukaya aur wahan se jaane laga.  Surabhi ne use fir se roka what happened? Agar thik nahi kar sakte toh kisi ko galat kahne ka hauq bhi nahi hai. Bhagwan  ne muh diya hai toh iska matlab ye nahi ki jab chaha khola aur kuch bhi bol diya. Ab Abhay se raha nahi gaya usne kaha thik hai pahle meri do batoon ke jawab do. Pahla ye ki tum kisi semi trained dance teacher se classes le rahi ho. Kya matlab ? Mera matlab tumhare teacher khud bhi puri tarah se trained nahi hai. ya toh woh khud bhi seekh rahe hain ya fir unhone apni shiksha beech main hi chod di hai.
Surabhi ne kaha haan bilkul theek woh khud bhi abhi seek hi rahe hain. Doosri baat woh bharatnatyam aur khathakali dono dances ke shiksha le rahe hain. Haan bilkul thik. Achcha ab cassette chalao main batata hoon tumhne kya galat kiya. Surabhi ne cassette chalai tumhne kiya aise stop, ab replay karo tumhe karna tha aise. Tum bharatnatyam kar rahi ho aur kuch pose Kuchipudi  ke le rahi ho. Jo kuch tumhne kiya that was rubbish. You have wasted your two years in dancing. You have learned a shit. Classical dance needs a fully trained master. Who can tell your mistakes from the beginning.  With lots of practice one can become a perfect dancer.  Ab tum chah kar bhi in galtiyon ko thik nahi kar sakti. Kyonki pichle do saalon main  you have got the mastery in doing mistakes.
Surabhi ne poocha how do you know so much about dancing? Maine 10 saal tak bharatnatyam aur Kuchipudi  dono seekha hai. Aur ye kahkar Abhay nikal pada. Jaise hi muda choudhary ji saamne khade they. Sir aap, I am very sorry woh  Saurabh………. Maine sab kuch sun liya hai tum jao aur jakar apna kaam karo. Abhay ke jaane ke baad Surabhi ko apni galti par bada afsos hua. Woh bahut royi ki kham-khan usne Abhay ki itni insult ki. Woh raat bhar Abhay ke baare main sochti rahi ki samay-samay par usne bahut baar Abhay ka apmaan kiya tha. Aur woh har baar chup chap sunta rahta tha. Raat kab gujar gayi use pata hi nahi chala.
Subah uthkar usne apne papa se baat ki aur usne kaha ki woh Abhay se apne bure vyavahar ke liye maafi maangna chahti hai.  Aur usne Abhay se dance seekhne ki bhi ichacha jahir ki. Papa ne kaha ki ye toh achchi baat hai ki tum apne kiye  par sharminda ho. Par jahan tak dance seekhne ki baat hai. Iska faisla toh Abhay hi karega ki woh tumhe dance seekhayega ya nahi pooch kar dekh lena. Papa aap meri sifarish kar dijiye na. Woh aapki baat nahi talenge. Isiliye main nahi bolna chahta kyonki main use majboor nahi karna chahta.
Har guru ko apna shishya chun ne ka adhikaar hai. Aur main nahi chahta ki woh  majboor hokar tumhe seekhaye. Din main jab Abhay aaya toh Surabhi ne apni galti ke liye maafi maangi. Abhay ne kaha nahi galti  meri hai mujhe upar nahi aana chahiye tha. Saurabh toh bachcha hai par mujhe apni limits ko samajhna chahiye tha. Surabhi boli iska matlab aapne mujhe maaf nahi kiya. Abhay bola nahi aise baat nahi hai. Meri samajh se galti tumhari nahi thi isliye maafi ka koi sawal nahi uthata. Surabhi ne kaha papa aap bolo na inhe ki ye mujhe maaf kar den. Choudhary ji ne kaha, Abhay agar tum chaho toh ise maaf kar sakte ho aur  chaho toh koi punishment bhi de sakte ho.
Nahi nahi sir iski koi jaroorat nahi maine tumhe maaf kar diya.  Agar aapne mujhe sach main maaf kar diya toh aap mujhe dance seekha dijiye. Abhay ne kaha ki nahi dance seekhane ke liye jis caliber ki jaroorat hoti hai woh mujh main nahi hai. Main aapko nahi seekha paaoonga. Surabhi nirash ho gayi. Surabhi ne poocha ki aap ne dance kis se seekha hai. Aap ke guru kaun hain. Abhay ne apne kaano par haath lagate hue bola ki meri guru hain meri jiji kadambari,  unhone hi mujhe dance seekhaya hai.  Toh kya woh mujhko dance seekha sakti hain. Nahi ab woh dance nahi  karti aur na  hi dance seekhati hain. Kariban 10 saal ho gaye jab se unki shaadi hui. Unke in-laws nahi chahte they ki unki  bahu koi naach-gaana kare. Isliye unhone dance chod diya.
Surabhi ne kaha ki Aap ek baar meri mulakaat unse karwa dijiye. Baaki main sab sambhal loongi. Woh nahi maanegi. Aap ek baar milwa toh do. Par sir, papa kuch nahi kahenge. Choudhary ji ne kaha ki mujhe ismain koi aitraaj nahi. Agar Surabhi ko kabil guru mile toh ye bhi kuch seekh jayegi. Thik hai sir main pahle apne jijaji se baat karta hoon. Surbahi tum kal dopahar main tyar rahna agar jijaji ko koi aitraj nahi hua toh main tumhe jiji ke paas le jaaoonga. Par tumhe thodi acting karni padegi.
Acting lekin acting toh mere bas ka rog nahi. Achcha acting chodo jaisa dance tum kal kar rahi thi thik waisa hi dance dobara kar dena. Baaki main sambhal loonga. Agle din Abhay Surabhi ko jiji ke paas lekar gaya. Jiji pranaam, khush raho aaj kaise rasta bhul gaye babbu. Jiji ek jaroori kaam hai aur aap ko meri madad karni hai. Baat kya hai? Pahle wada karo toh bataoon. Woh toh thik hai par tere saath ye ladki kaun hai. Sab thik thak toh hai, tune koi galti toh nahi ki. Erre jiji ruko, ruko ye Surabhi hai mere boss ki beti hai aur iska hi kuch jaroori kaam hai. Jiski wajah se main yahan aaya hoon.
Namaste jiji aur fir Surabhi ne jiji ke paair chuye. Khush raho, bahut sundar hai maine socha ki tune pasand kar li hai aur mujhse milwane laya hai. Ye sunkar Surabhi sharma gayi aur Abhay jhep gaya. Jiji tum bhi kuch bhi kahti ho. Achcha ab toh wada karo ki meri baat maanogi. Chalo wada kiya ab toh batao. Jiji Surabhi ke college main ek dance competition hai. Maine ise thoda bahut seekha diya hai. Tum bhi ise thodi bahut tips de do. Ye kaise bhasha bol raha hai. Nritya toh ek pooja hai aur ismein tips nahi di jaati. Aur tu  toh jaanta hai ki shaadi ke baad se maine dance nahi karti. Tu hi seekha de, jiji mere pass samay kahan hai tumhe pata toh hai. Woh toh do hafton main phtaphat main jo seekha sakta tha woh seekha diya.
Ab aap madad karo toh iske bhi bhag khul jaayen. Nahi nahi dance aur iss ghar main. Achcha mat seekhana jara dekh toh lo. Kahan galti kar rahi hai. Woh hi bata dena. Thik hai karo. Lao Surabhi cassette lao. Jiji tape recorder kahan hai. Taperecorder haan music ke liye. Oh ho toh aajkal dance aise karte hain. Haan jiji. Chalo Surabhi karo. Aur fir Surabhi ne dance karna shuru kar diya. Aur fir wohi hua jo Abhay ne socha tha. Within two minutes bandh karo, ye kya bakwas hai. Ye hi seekhaya hai tune, yahi seekhaya tha  maine tujhe  aur fir jiji ne Abhay ka kaan pakad liya aur fir daantna shuru kar diya. Abhay chupchap daant sunata raha.
Surabhi ne jiji ko rokte hue kaha, jiji sab kuch inhone nahi seekhaya. Thoda bahut maine ismain add kiya hai. Kya ! Add kya hai. Koi fruit salad hai  jo upar se chaat masala daal diya hai. Jiji fir seekha do na. Thik hai fir kal se aa ja na. Thik usi samay Rashmi meri niece boli maa mujhe bhi seekha do na. Didi ke saath-saath main bhi seekh loongi. Kabse seekhna chahti hoon. par aap haan hi nahi bolti. Par beta tere papa, kya woh ijajat denge?. Maine Surabhi ko bhi haan toh bol diya hai par tere papa kya sochenge maine unse poocha bhi nahi.
Tabhi awaj aai Kuch nahi sochenge, tum Surabhi ke saath saath Rashmi ko bhi dance seekhao. Hamaari puri ijajat hai. Aap aur iss samay fir jiji ne Abhay ki ore dekha aur boli toh tu puri planning ke saath aaya hai. Kadambari ke aankon main aanshu aa gaye aur woh Abhay ke gale lag gaye. Abhay bola jiji mujhe pata hai ki aap kitna tadpi hain dance ke liye. Par thanks bolo jija ji ko, permission toh unhone di hai. Jiji, jijaji ke paas gayi toh jija ji bole kadambari mujhe maaf kar do. Main tumhaara pati hokar bhi tumhaare dard ko nahi samajh saka. Lekin aaj Abhay ne meri aankhe khol di, jab usne bataya ki tum dance ko kitna miss karti ho, par mere parivaar walon ki khusi ki  liye tumhne sab kuch chod diya. Aur fir jijaji ne jiji ko apni bahoon main le liya.
Kadambari boli main hi bewkoof hoon jo samajh nahi paai ki ye saari planning Abhay ki hai. Aur kam se kam Surabhi ka dance dekh kar toh mujhe samajh hi jana chahiye tha. Jise Abhay ne do hafton main seekhaya hai. Fir kadambari  aur Abhay dono ek-doosre ko dekh kar hansne lage. Surabhi dono ka muh dekhati rahi use kuch samajh main nahi aaya. Kadambari boli mujhe tere dance ko dekhte hi samajh jana chahiye tha ki jo galtiyan tum kar rahi thi. Usmain tumhe mastery haasil hai. Aur aisi galtiyaan koi do hafton main nahi seekhta.
Ab Surabhi roj kadambari ke paas dance seekhne aane lagi. Udhar Surabhi aur Rashmi ko dance seekhate-seekhate kadambari ke chehre par bhi raunak aa gayi. Aisa lagta tha ki use naya jeewan mil gaya ho. Udhar Surabhi ka vyvahar bhi kaafi badalne laga tha. Kadambari ne thik kaha tha ki nritya ek pooja hoti hai. Aur pooja se  poojari ke jeewan main bhi shant aur sthirta aa jaati hai. Surabhi ke badle vyvahar se uske papa bhi bahut khush they.
Surabhi, kadambari aur Rashmi se kaafi ghul mil gayi thi. Kadambari aksar Surabhi ko apne aur Abhay ke  bachpan ki baaten bataya karti thi. Ek din kadambari ne Surabhi se poocha kya  baat hai Surabhi tum pareshaan lag rahi ho. Surabhi boli kuch nahi, batao kya hua, woh kal raat maa bed se gir padi. Unhe chot aai hai. Bed se gir padi kadambari ne  hairaani se poocha. Haan woh maa bimaar hain na. Kadambari ne poocha kya baat hai kya hua hai tumhaari maa ko jab bhi tumhaari maa ki baat chidati hai toh tum dukhi ho jaati ho. Surabhi ne bataya ki maa ki ye haalat world trade haadse ke dauran hui thi.
Jis samay US main twin tower gire us samay papa US main twin tower main hi kisi kaam se gaye hue they. Unhone maa ke saath wahan ke kisi café se baat bhi ki thi. Baat karte-karte phone kat gaya aur fir kuch der main pure world main ye baat fail gayi ki twin tower dah gaye aur jaan maal ka kafi nuksaan hua hai. Maa ko jab ye pata chala toh woh  sadme main aa gayi aur pathar ki butt ban gayi. Us hadse main papa ko kuch chote aai thi darasal kuch der pahle hi papa tower se bahar aa gaye they. Lekin chot ki wajah se woh do din tak behosh rahe they. Aur jab hosh aaya toh ghar ki sud li.
Yahan sab unhe mara hua samajh rahe they. Jab papa ghar pahunche toh unhone maa ko iss halat main dekha.  Maa abhi tak us sadme se bahar nahi aa pai hain. Samay ke saath kuch toh sudhar aaya hai  par abhi bhi woh na toh kuch bolti hain aur na chal fir sakti hain.  Aur isi wajah se papa ne ghar main hi office khol rakha hai. Ye kahkar Surabhi rone lagi. Kadambari ne use gale se laga liya aur kaha ki tum himmat se kaam lo. Aise main tumhe apne papa ki strong beti ban na padega.
Abhay aur kadambari ke vyaktitva ka Surabhi par kaafi gahra asar pada aur usmein kaafi changes aane lage. Ab woh ghar ke kaam-kaaj par dyan dene lagi aur dheere-dheere usne apni maa ki puri jimmedari apne upar le li. Choudhary ji ko apni beti ke ander is change ko dekh kar badi khusi hui. Dheere-dheere samay beeta aur Surabhi ka collage pura ho gaya. Uske liye rishte aane lage. Choudhari ji ne apne brabari ke ek parivaar main Surabhi ka rishta tay kar diya.
Shaadi ki saari tyari ki jimmedari choudhary ji ne Abhay ke kandho par daal di. Abhay shaadi ki tyari karne laga. Surabhi ko fir se Abhay ko dekh kar gussa aane laga. Woh Abhay se pyar karne lagi thi aur Abhay uski shaadi ki tyaariyon main laga tha. Lekin fir ye soch ke sabar kar leti thi ki na toh usne Abhay se apne pyar ka ijhaar kiya hai aur na hi Abhay ne . Surabhi kuch dukhi-dukhe aur udas si rahne lagi. Choudhari ji ne Abhay ko Surabhi ko samjhane ke liye kaha. Unhone Abhay se kaha ki  tum dono hum umar ho. Tum Surabhi ko samjhao ki parivaar achcha hai ladka samajhdar hai woh Surabhi ko khus rakhega.
Abhay Surabhi ke paas gaya aur bola ki tumhaare papa chahte hain ki main tumhe shaadi ke liye manaoon. Surabhi ne poocha ki tum kya chahte ho. Main main bhi ye hi chahta hoon ki ladka khandaani hai amir hai, tumhaare status ka hai. Tum hamesha khus rahogi. Lekin main kisi aur se pyar karti hoon. Dekho Surabhi tum sirf apne baare main nahi soch sakti tumhe apne  parivaar ke baare main bhi sochna chahiye. Kya tum nahi jaan na chahoge ki main kis se pyar karti hoon. Nahi kyon? Ab iska koi fayda nahi. Fayda! Pyar fayda aur nuksaan dekh kar nahi kiya jata. Lekin Surabhi keval paana hi pyar nahi hai.
 Kya woh ladka bhi tumhe pyar karta hai. Pata nahi. Fir aise kisi insaan ke liye jiske baare main tum ye bhi nahi jaanti ki woh tumse pyar karta hai bhi ya nahi tum apne ghar walon ka dil kaise tod sakti ho. Is se achcha hai ki tum us ladke se shaadi kar lo jisko tumhaare papa ne pasand kiya hai.
Surabhi rote-rote maa ke paas chali gayi. Aur apni maa ki godh main muh chupa kar fut fut kar rone lagi. Par hai ri kismet maa chah kar bhi apne beti ke aanshu nahi ponch sakti thi.  Udhar jiji, Abhay ke saath baat kar rahi thi. kya baat hai babbu bahut busy hai aaj kal. Bahut dino se tune thik se baat bhi nahi ki aur Surabhi bhi kaafi dino se nahi aai. Jab pichali baar mili thi toh kuch bujhi bujhi si thi. kya baat hai sab thik toh hai. kuch nahi jiji, Woh uski shaadi hai na isliye jara shopping waigair kar rahi hogi. Isliye time nahi mila hoga. Shaadi kya matlab? Mujhe toh lagta tha ki tum dono ek doosre ko pyar karte ho.
Jiji tum bhi na kuch bhi samajh leti ho. Babbu tum mujh se muh kyon chupa rahe ho. Meri aankho main dekh kar kaho. Bacha main teri jiji hi nahi maa bhi hoon. Kya main apne bachche ke dil ka haal nahi samajh sakti. Jiji woh mere boss ki  beti hai. Unke kitne ahsaan hain mujh par. Ye thik nahi hai. Toh aisa kaho na ki thik nahi hai ye kyon kahte ho ki pyar nahi hai. Bachcha tu kahe toh main aur tere jija ji unse baat Karen. Nahi jiji woh itne amir hain, woh itne naajon se pali hai hum use kya de sakenge.
Tune ek aurat ke dil ko nahi samjha. Use paisa nahi pyar chahiye hota hai. Hum log dhan daulat ke garib ho sakte hain lekin pyar ke garib nahi. Pyar beshumar hai hamaare paas. Nahi jiji aap kisi se baat nahi karogi. Aur Surabhi ko bhi kuch nahi bataogi ki main us se pyar karta hoon aapko meri kasam. Surabhi ne jiji aur Abhay ki saari baaten sun li. Woh jiji ko apni shaadi ka card dene aai thi. Woh  darwaje se hi wapas chali gayi.
Shaadi ke din najdeek aa gaye. tyari jor shor se hone lagi. Abhay shaadi ki sabhi tyariyan bakhubhi nibha raha tha. Udhar Surabhi aansu baha rahi thi. Jab bhi dono ek-doosre ke saamne aate apne dil ke chhaalon ko ek-doosre se chupa lete. Saare ghar ko  phoolon se sajaya ja raha tha. Lightning ka pura intjaam kiya ja raha tha. Ghar ka har kona light se damak raha tha. Ghar main mehandi ki rasam thi ghar mehmaano se bhara pada tha. Ladies sangeet chal raha tha.
Gents ke beech jam takra rahe they. Ladkiyaan naach rahi thi bachche khel rahe they. Surabhi ke haatho main mehandi lag rahi thi.  Tabhi ek haadsa hua aur short circuit ki wajah se pandaal main aag lag gayi. Choudhary ji aag bhujane gaye toh wahin aag main fans gaye. Sab madad ke liye chilane lage . bhagdad si mach gayi. Par kisi ki himmat aag main jaane ki na hui. Choudhary ji ko aag main fansa dekh kar Mrs. Choudhary jor se chillaai aur wheel chair se gir padi.
Udhar jab Abhay ne choudhary ji ko aag main fansa hua dekha toh woh aag main kud pada. Kaafi der ho gayi par abhay bahar nahi aaya ye dekh kar Mrs. Choudhary behosh ho gayi.  Par thodi der main abhay choudharyji ko aag se bacha kar le aaya par unko bachate hue woh kud ghayal ho gaya. Mrs. Choudhari aur Abhay ko hospital le kar gaye.  Abhay ko iss halat main dekh kar Surabhi apne aap ko rok nahi paai aur Abhay se lipat kar rone lagi. Kadambari aur Rashmi bhi hospital pahunche unhone Surabhi ko sambhala. Mrs choudhary ko 48 ghanto ke baad hosh aaya. Unke bed ke charon ore choudhary ji, Saurabh, Surabhi, kadambari aur doctors khade they.
Unhone dyan se ek-ek kar ke sabko dekha aur fir Surabhi se poocha Abhay kaisa hai, kahan hai woh thik toh hai. Unki aawaj sunkar sab hairaan rah gaye. Iss haadse main woh sadme se bahar aa gayi. Unhone choudharyji ko Surabhi aur Abhay ke pyar ki baat batai. Doctors ne kaha ki aaj tak woh sab kuch sun aur samajh rahi thi par apne sadme ke kaaran kuch react nahi kar pa rahi thi. Choudhary ji ne mujhse aur kadambari se Surabhi aur Abhay ki shaadi ki baat ki. Aur fir dono ki shaadi ho gayi. Ab Abhay choudhary ji ka saara business sambhalta hai. Choudharyji ne retirement le li hai woh apna saara samay apni wife ke saath bitate hain.
  Abhay aur Surabhi ke do bachche hain. Kadambari aur Surabhi ne milkar ek dance school khola hai. Saurabh MBA ki padai ke liye US gaya hua hai. Rashmi home science main Bachelor degree kar rahi hai. Abay ka chota bhai kartik MBBS ki padai kar raha hai aur kritika ki shaadi ho chuki  hai.
Itne main Abhay cabin main wapas aaya, sorry jija ji aapko intjaar karwaya. Chalo chale jiji intjaar kar rahi hogi.

******

Friday, May 11, 2012

I Love U Papa

Main college ke final year mein thi. Hamaari class college ke ek education tour ppar jaa rahi thi. Hum sab friends  bahut khus they.  Main  bahut utsahit thi. Aisa pahli baar tha jab main apne doston ke saath kahin bahar jaane wali thi. Par ghar se permission Milna bada muskil kaam tha. Main apne ma-papa ki eklaut beti hoon. Isliye mera bada khyal rakha jaata hai. Aur ye ek wajah thi ki mujhe ghar se itni door akele jaane ki parmission nahi milne wali thi. Lekin main har pal koshish kar rahi thi ki mujhe jaane ki permission mil jaaye.
Isliye alag-alag daleelen pesh kar rahi thi. Maine maa se kaha ki bahar jaoongi toh jyada exposure milega. Class mein study karne se aur field experience ka alag-alag experience hota hai. Bahar jakar doosre students bhi interaction hota hai. Iss se unke vichar bhi jaan ne ko milete hain aur kis ke saath kaise tackle kiya jaaye ye bhi seekh sakte hain. Fir kal mujhe higher studies ke liye bahar jaana padega toh kya aap log mere saath jaaoge.
 Jana thoda isliye bhi muskil lag raha tha kyonki papa ghar par nahi they woh office ke kisi kaam ke silsile mein bahar gaye hue they. Aakhir kaar maa ne kaha ki papa ki permission lo  woh agar haan kar de toh chali jaana. Waise toh papa meri koi baat nahi taalte par kyon ki ghar se door kisi dusre state mein jaana tha isliye chances kam lag rahe they fir bhi saamne hote toh unhe emotional blackmail karke mana sakti thi par phone par woh bhi possible nahi tha.
Aakhirkaar woh din aa gaya. Jab hamen nikalna tha. Papa se phone par baat nahi ho paai. Maine apni do friends ko ghar par bula liya tha ab woh bhi mere saath maa ki khusamad karne lagi. Ki aunty allow kar dijiye na hum bhi toh jaa rahen hain. Hum Maithili ka khyal rakhenge aur roj shaam ko aapko  phone karenge. Uncle ghar par nahi hain. Aap hi ijaajat de dijiye. Hum total 50 students bengalore ja rahe hain. Saath mein paanch lecturer bhi hain. Ab hum koi bachche thode hi hain. Aur fir bahut request karne ke baad maa ne permission de di woh boli lekin ab itna samay kahan hai ki saari packing waigairh ho sake toh unhone kaha ki chinta mat kijiye aunty Maithili ne packing pahle se kar rakhi hai.
Maine khushi-khushi apne college friends ke saath bengalore ke liye nikal padi. 20 din ka tour tha. Jismein hamen kuch seminars attend karne they kuch workshops honi thi. Kuch lectures aur fir bengalore ke chaar-paanch college students ke saath interactions aur joint workshops. 50 student ke group mein 25 ladke aur 25 ladkiyaan thi. Raaste bhar hum antakshari khelte hue gaane gaate hue jaa  rahe they. Hum bahut enjoy kar rahe they.
Ghar se door sabhi aajaad panchi they. Khub hansi-majaak kar rahe they. Har kisi ke naye-naye roop hamen dekhne ko mil rahe they. Iss hansi-majaak ke dauraan hum mein se kaafi ladke- ladkiyaan ek-doosre pasand karne lage they aur ek-doosre ke kaafi najdeek aa gaye they. Aisa hi kuch haal mera bhi tha. Mere bhi  jaise pankh lag gaye they Aur main khule aasmaan mein ud rahi thi. Pahle kabhi itni aajaadi nahi mili thi. Meri khusi chupaay nahi chup rahi thi. Main har activity mein bad-chad kar bhag le rahi thi. Group ke sabhi students bade hairaan they ki ye Maithili jo kaafi reserve nature ki thi isko kya ho gaya hai. Mera ye roop kisi ne nahi dekha tha.
Aajadi ka fayda thoda bahut sabhi ne uthaya tha. Mujhe bhi iss trip mein ek ladka mihir bahut achcha lagne laga tha. Woh ladkon ke group ka leader tha. Uske baat karne ka tarika, sabko samjhana ke tarika bahut hi achcha tha. Usmein  sabko ek decision ke liye tyar karne ki kala thi. In short uske ander leadership quality bahut achchi thi.
Main sabse chup ka usko dekha karti thi. Mujhe aisa lag raha tha. Jaise woh bhi mujhse kuch kahna chahta ho. Par jab bhi hum ek-doosre ke saamne aate they toh kuch kah nahi paate they. Bas ek-doosre ko smile paas kar dete they. Kul milakar mere bilkul alag se they. Apni 18 saal ki jindagi mein aisa pahle kabhi nahi feel kiya tha. Main badi khus thi. Tabhi meri jindagi mein aisa kuch hua jis se mere pairon tele jameen khisak gayi.
Hamaara bengalore ke kisi college ke students ke saath joint workshop tha. Hamen do-do ke group mein baat diya tha. Ek student unka aur ek student hamaara. Hum unke college mein pahunche jahan notice board par hum logon ke naam aur hamaare   partner ka naam likha tha. College mein pahunchte hi mujhe bada ajeeb sa lag raha tha. Jaise ki wahan har koi mujhe jaanta ho. Jo koi bhi milta smile paas karta ya wish karta tha. Koi ghur kar dekhta toh koi hairaani se. Kuch der baad comments bhi milne lage. Erre western outfits, bahut achchi lag rahi ho, What a change, Wow! Nice, looking smart sabse jyada hairaan tab hui jab ek ladke ne kaha wow! Miss Nautiyal, ye outfit tumhe bahut suit karta hai. Ye sunkar toh main haairaan hi rah gayi ki mere surname se toh mere dost bhi mujhe nahi jaante fir ise kaise pata chala.
Iss se pahle ki main kuch poochti woh chala gaya. Meri friends bhi mujhe dekh kar hairaan thi. Kya baat hai yahan toh sab tujh ko jaante hain. Kya yahan tum pahle aa chuki ho. Maine kaha nahi yaar pata nahi ye sab loga aise kyon behave kar rahe hain. Pata nahi.  Itne mein hum notice board ke paas pahunch gaye. Notice board par apni partner ka naam dekha toh dang rah gayi. Wahan likha tha Vedehi nautiyal aur mathili nautiyal.  Dekhte hi muh se nikla Vedehi nautiyaal yahan kaun si nautiyaal aa gayi. Itne mein peeche se awaj aai main aai nahi hoon main pahle se yahan thi aai toh tum ho.
Peeche mud kar dekha toh hosh ud gaye. Aisa laga jaise ki apne aap ko aaine mein dekh rahi hoon. Lekin Indian outfit ye toh main kabhi pahanti nahi hoon.  Woh bhi mujhe dekhkar hakki-bakki rah gayi. Aur uske baad woh sabhi log jinhone bhi hamen saath-saath dekha dekhte hi rah gaye. Vedehi ko dekhte hi mujhe papa ki baat yaad aai woh kahte they ki agar meri do batiyaan hoti toh doosri ka naam main Vedehi rakhta. Maine Vedehi ka haath pakda aur use akele mein le gayi taaki use ke saath baat kar sakun. Maine us se poocha ki tumhaare papa ka naam kya hai.  Woh boli manish nautiyaal. Ye sunkar mujhe chakkar aane laga. Vedehi ne mujhe sahara diya aur boli kyon kya hua? Maine  kaha ki mere papa ka naam bhi manish nautiyaal hai.
Hum dono ki shaklen milti hain aur  humaari ek jaisi shaklon ki  wajah se hi  saare log aise behave kar rahe they ki  woh  mujhe pahle se jaante hain. Woh sab mujhe tumhe  samajh rahe they. Vedehi ne bataya ki woh yahin bengalore mein hi paida hui hai aur kabhi yahan se bahar nahi gayi. Papa ka business hai,  mahine mein teen hafte delhi mein rahte hain aur ek hafte yahan bengalore mein.
Maithili boli ki papa service karte hain aur mahine mein teen hafte delhi mein rahte hain aur ek hafta tour par rahte hain. Mera ek bada bhai hai jo mujhse paanch saal bada hai. Vedehi boli hum teen bhai-bahan hain main badi hoon aur mujhse chote do bhai kartik aur kunal twins hain.  Dadi papa ke saath delhi mein rahti hain aur papa ka khyal rakhti hain. Hum dono ko samajh mein nahi aa raha tha ki humen khush hona chahiye tha ya dhukhi, hum roye ya hanse.
Hum wahin baithe kaafi der tak ek-doosre se bahut saari baaten share karte rahe. Aur fir Vedehi mera  haath pakad kar apne saath apne ghar le gayi. Vedehi mujhse saath mahine choti thi. Main chupchap uske saath chalti rahi.  Ghar pahunchkar usne apni maa se kaha ki maa aaj main aapko kisi se milwana chahti hoon. Aur fir achanak mujhe unke aage khada kar diya.  Unhone mujhe thoda hairaani se dekha aur fir gale laga kar boli aao Maithili. Tum yahan kaise sab kuch kushal purvak toh hai.
Mere aur Vedehi ke hosh ud gaye. Ki ye toh sab kuch jaanti hain. Maa, maa tum sab jaanti ho. Haan. Maine poocha aur meri maa kya unhe pata hai. Woh boli nahi woh kuch nahi jaanti, unhe kuch nahi pata. Itna sunte hi main wahan se bahar nikal padi. Auto karke seedhe college pahunchi. Main bahut disturb thi. Mujhe bahut bura lag raha tha. Jaise kisi ne mere saath bahut bada dhoka kiya ho. Lekin fir apni maa ke baare mein soch kar aur bhi bura lagne laga. Ki unke saath toh kitna bada dhoka ho raha hai aur woh bhi itne saalon se.
Maine college pahunchkar apne lecturer se ghar wapas jaane ki permission li. Maine unse kaha ki meri dadi ki tabiyat bahtu kharab hai aur mujhe wapas jaana hai. Lecturer ne akele wapas bhejne  ke liye mana kar diya. Kaha ki  tum akele wapas nahi ja sakti.  Mujhe pareshani mein dekh kar mihir ne mujhe thik-thak ghar pahunchaane ki jimmedari le li. Fir lecturer ne mujhe mihir ke saath wapas bhej diya.
Main apne aap ko sambhal nahi pa rahi thi.  Mere baar-baar aanshu nikal rahe they. Mihir ne mujhe bahut sambhala. Use lag raha tha ki main dadi ki wajah se pareshaan hoon. Par mujhe toh apni maa ki wajah se bura lag raha tha. Mujhe apne papa se nafrat ho rahi thi. Maine Vedehi ke ghar par dadi ki ek family picture dekhi thi isliye mujhe dadi par bhi gussa aa raha tha ki unhe bhi sab kuch pata hai. Maine delhi pahunchkar seedhe dadi se milne ka vichaar banaya.  Aur mihir ko bola ki   tum mujhe mere chacha ke ghar chod do. Mihir ne mujhe mere chacha ke ghar chod diya. Main bade gusse se ander gussi.
Dadi ne kaha aa gayi mathili. Mujhe tumhaari badi chinta ho rahi thi. Oh ho toh aapko phone pahunch gaya ki main bengalore se nikal padi hoon, maine gusse se kaha. Haan Vedehi ka phone aaya tha. Dadi tum sab dhoke baaj ho. Tumhne humen aur meri maa ko bahut bada dhoka diya hai. Tum bahut buri ho aur papa bhi bahut gande hain. Dadi boli ki mathili tum abhi sirf aadha sach jaanti ho. Aur aadha sach jaankar tum faisla nahi kar sakti. Koi bhi rai banane se pahle tum pura sach jaan lo. Abhi tumhe apni maa se hum dardi aur papa se nafrat ho rahi hai.
Jara apne dil par haath rakh kar kaho, iss sach ko jaan ne se pahle kya tumhne apne papa ke pyar mein koi kami dekhi. Kabhi bhi koi aisa pal jab tumhe laga ho ki  tumhaare papa ko tumhaari fikar nahi. Ya fir woh tumhe kisi bhi aur ma-baap se kam pyar karte hon.  Fir rahi baat, tumhari maa ko dhoka dene ki  toh  iss baat ke liye woh  tumhe answerable nahi hai. Iska agar use kabhi bhi jawab dena hoga toh woh jawab dega tumhaari maa ko. Tumhe nahi.
Lekin fir  bhi main tumhe woh sach batati hoon jo ab tak kisi ko nahi pata. Par pahle tum batao ki tumhaare hisaab se tumhare maa aur pitaji ke beech kaise sambandh hain. Maa aur pitaji aapas mein kam baath karte hain. Maa jo kahti hain papa woh chup-chap kar dete hain. Papa jab bhi ghar par hote hain toh ya toh mere saath busy rahte hain ya fir  apni kitaboon mein khoye  rahte hain. Beta ye silsila pichle 20 saal se chal raha hai. Chahne walon se door na chahne walon ke beech mein ek pal  bhi gujarana bada muskil hota hai aur woh pichle 20 saalon se rah raha hai.
Sirf tumhaare karan. Agar woh tum ko itna pyar na karta toh use us narak mein rahne ki koi jaroorat nahi thi. Tumhaare ma-pitaji ki arranged marriage hui thi. Main hi tumhaari maa ko iss ghar mein dulhan banakar laai thi. Shaadi ke dedh saal tak sab thik chala. Par uske baad unki shaadi suda jindagi mein anban shuru ho gayi.  Tumhaare dadaji ki akasmaat mrityu ke baad saare ghar ki jimmedaari tumhaare papa ke kandho par aa gayi. Us bure waqt mein tumhaari maa ne uska saath dene ki bajay us ki muskiloon ko aur bada diya.
Woh baharwalon ke bahkawe mein aakar ghar mein kalesh karne lagi. Woh nahi  chahti thi ki tumhaare papa kisi bhi doosri jimmedaari ko uthaye. Uska ka maan na tha ki tere papa uska haq maar kar baaki logon ko de rahe hain. Jabki tumhaare papa apni jimedariyon ko nibha raha tha. Tere maa ek joint family mein nahi rahna chahti thi. Isliye ghar mein roj kisi na kisi baat par tere papa se jhagda karti thi. Woh bahut koshish karta ki woh tumhaari maa ko khus rakh sake par uski saari koshishen bekar jaati.
Jab tere papa bahut pareshan rahne lage toh maine hi tere papa ko alag rahne ke liye kaha. Aur woh tere maa ko lekar alag flat par chala gaya. Tere papa alag toh chale gaye par unka dil tut gaya. Teri maa alag jaane ke baad bhi shaant nahi hui. Woh har pal ye koshish karti ki tumhaare papa hum se saare rishte tod len. Tumhaari maa ko lagta tha kit ere papa uske liye sahi match nahi hain unhe tumhare papa se koi bahut achcha mil sakta tha. Woh hamesha apni kismet ko kosti rahti thi. Ki uske shaadi tere papa se ho gayi. Woh har kaam apne marji se kiya karti thi aur tere papa se kabhi bhi koi salah mashwara nahi karti thi
Usko  sab ne ye salah di ki agar uski life mein ek bachcha aa jaaye toh us ki life se jhagde khatam ho jaayenge aur dono ki life ko ek alag direction mil jaayegi aur bachacha dono ki life mein khushiyan le aayega.. Par tumhaari maa koi bhi responsibility lene ko tyar nahi thi. Dheere-dheere un dono ke beech bhi distance badne laga. Dono ke beech aksar ladai hoti thi. Dono hi jaisa jeevan saathi chahte they waisa unhe nahi mila. Tera papa jo har mahfil ki jaan hua karta tha. Woh dheere-dheere ander hi ander ghutne laga aur bahut pareshaan rahne laga. Usko iss tension mein dekh kar humne  usko divorce lene ki bhi salah di. Par woh decide nahi kar pa raha tha ki woh kya kare.  
Ek baar ki baat hai. Tumhaare papa office ke kaam se Bangalore gaye hue they. Wahin tumhaare pita ki pahli mulakaat Anjali se hui. Anjali Vedehi ki maa. Tumhaare papa Bangalore mein Anjali ke ghar par paying guest ban kar rah rahe they Anjali ke pita tumhaare papa ke office mein hi kaam karte they. Tumhaare papa ko Bangalore mein kuch 4-5 mahino tak rahna tha itne lambe samay tak bahar ka khana jara muskil kaam tha aur tumhaare papa ko khana bana na nahi aata tha aise mein Anjali ke papa ne tere papa ko apne ghar par as a paying guest rakh liya.
Anjali Ph.D kar rahi thi. Anjali ek south Indian ladki thi. South Indian log apne bachcho ko dance aur music ki bhi shiksha dete hain. Anjali bhi bharatnatyam aur karnatic music mein nipun thi. Bahut meetha gaathi aur bolti thi. Bahut swadisht khana banati thi. Maa Annapurna ki jaise us par kuch khas kripa ho. Anjali bahut milansaar bhi thi. Anjali mein har woh baat thi jo tere papa ne apne jeewan shaathi mein chaahi thi. Anjali ke swabhav ne jald hi tere papa ka dil jeet liya. Anjali ki baaten aur uska swabhav tumhaare papa ke ghav par marham ka kaam karne lage. Tere papa ka nature toh tha hi bahut achcha unke shaadi suda hone ke bawjood Anjali bhi tumhaare papa ko dil hi dil mein chahne lagi thi.
Tabhi ek accident mein Anjali ke pita ki maut ho gayi. Unki saari property par uske chacho ne dhoke se kabja kar liya.  Aise mein Anjali ki maa ke paas Bangalore ke us makaan ke allawa kuch aur nahi bacha. Aise mein tere papa ne Anjali aur uski maa ki bahut madad ki aur Anjali ke papa ki job Anjali ko dilwa di. Isi dauraan tere papa aur Anjali ke beech kuch ghanist ta ho gayi aur kisi kamjoor ghadi mein un dono se ek bhul ho gayi.  
Tumhaare papa delhi aa gaye. Shayad mann hi mann usne decide kar liye ki woh tumhaari maa se divorce le lega. Lekin yahan aakar use pata chala ki tumhaari maa pregnant hai. Tumhaari maa six months pregnant thi aur tumhaare papa kariban chaar mahino ke baad wapas aa rahe they. Tumhaare maa ne jaate samay tumhaare papa ko nahi bataya tha ki woh pregnant hai.
  Fir tum ho gayi aur usne anajali ka khayal apne dimag se nikal diya. Tumhaari wajah se tumhaari maa ke saath ek nayi shuruwat karne ke liye apne aap ko tyar karne laga. Lekin tumhaari maa aur kutte ki poonch kabhi seedhi nahi ho sakti. Tumhaari maa mein tumhaare aane ke baad bhi koi change nahi aaya. Aakhirkaar tumhaare papa ne hathiyar dal diye air apni kismet aur tumhari maa ke saath samjhauta kar liya. Usne apne aap ko kitabon mein kho diya. Usne ab ek chuppi si saadh li. Ab ya tumhaare saath khelta ya apni books mein gusa rahata.
Jab tum dedh saal ki hui toh tumhaare papa ko doobara Bangalore jaana pada.wahan jaakar use pata chala ki uske aane ke baad Anjali aur uski maa ko bahut kuch sahna pada. Asal mein wahan Anjali pregnant ho chuki thi. Kyon ki woh tere papa ko pyar karti thi isliye usne iss bachche ko janam diya. Jab tere papa ko saari baat ka pata chala toh tere papa ne wahan ke  ek mandir mein Anjali se shaadi kar li.
Tabse tumhaare papa teen hafte delhi mein aur ek hafta Bangalore mein rahte hain. Ye baat mujhe bhi pata nahi thi. Do saal pahle jab meri tabiyat bahut kharab thi aur main marne se pahle balaji ke darshan karna chahti thi. Us samay tere paap ne mujhe bataya ki maa maine aaj tak tujhse ek baat chupa kar rakhi hai aur tere marne se pahle main tujhe batana chahta hoon. Aur fir woh mujhe Anjali ke paas le gaya. Tab maine pahli baar Anjali aur apne pote-potiyon ko dekha.
Anjali ne un aath-das dino mein meri woh seva ki itna aadar satkaar kiya, jiske liye main hamesha tadpti thi. Usne un aath-das dino mein mere saas hone ke ahsaas ko pura kar diya. Aur maine usi pal Anjali aur apne bête ko maaf kar diya. Agar Anjali na hoti toh mere bête ka ye jeevan toh barbaad ho chukka tha. Usne mere bête ko barbaad hone se bacha liya.
Ab main tere upar chodti hoon ki chaaho toh ye sach sabko bata do ya fir jaisa chal raha hai use waise hi chalne do. Maithili dadi ki  baat sunkar apne ghar wapas aa gayi. Papa pahle hi ghar pahunch chuke they. Anjali ne papa ko phone karke bata diya tha ki Maithili ko sab kuch pata chal chukka hai. Mujhe ghar par aise dekh kar maa ne poocha ki tu toh 20 dino ke baad aane wali thi fir pahle kaise aa gayi.
Maine kaha ki papa ki permission nahi lit hi. Isliye bura lag raha tha. Papa I am sorry kahkar main papa se lipat gayi. Aur rone lagi. Papa ne mujhe gale se laga liya. Main aur papa jaante they ki mujhe kyon bura lag raha tha.

*************

Ek Din Achchanak

Subah ke aath baj rahe hain. Neelu kaafi pareshan si idhar-udhar ghum rahi hai. Kare bhi toh kya? Kuch samajh mein hi nahi aa raha. Neelu ki iss parishaani ko uski saas bhi dekh rahi hai par woh khamosh hai. koi bhi ek-doosre se poochna nahi chahta. Dono ke beech mein pichle ek hafte se cold war chal rahi hai. jo pahle muh kholega woh haar jayega. Pahle bolne se aham jo chakna-choor ho jayega. Isliye dono lucknow ke do nawabon waale ki tarah pahle aap-pahle aap ka turra liye apne  aham ko liye baithi hain. ye dono adig hain ek-doosre ko jhukaane ke liye.
Nau bajne waale they. office ka samay ho chala tha. neelu office jaane ki tyari kar rahi thi. aur saath-saath kichen bhi samet rahi thi uski nigah kabhi ghadi ki suiyon par jaati kabhi darwaaje par. Yon hi intjaar karte-karte das baj gaye. Idhar sahu maa ka bhi sabar ka baandh tut gaya. chilla kar boli, ab subah-subah kahan bhej diya mere bête ko. Neelu ne palatkar jawab diya. main toh soch rahi thi ki maa ki hi kisi aagya ka palan karne gaye hain. aur fir dono ki bahas shuru ho gayi.
Ye koi nahi baat nahi. ye inka roj ka kissa hai. pichle teen saal se ye hi inke dincharya ka hissa hai. ek hafta thik rahti hain aur fir ek hafte tak cold war. Shayad isi tarah inka khana      pachta hai.  jab dono ka bahas karte-karte gala shukhne laga. toh inki ladai ko bhi ek alpviram mil gaya. kuch der ke liye poore ghar main khamoshi cha gayi. Aur fir dono darwaje ki taraf najar tika kar baith gayi.
Dono ki najaren darwaje kpar aise tiki thi. jaise aurjun ki najaren machali ki aankh par. Isi intjaar main, aadha din nikal gaya. samajh mein nahi aa raha tha ki kya Karen. Neelu ne office mein phone kar ke kah diya ki woh aaj office nahi aayegi. Ghar par kuch jaroori kaam aan pada hai. phir shuru hua phone ka silsila. Neelu ek-ek  karke sabko phone kar rahi thi. aur shantunu ke baare mein  pooch rahi thi.
Pahle usne apni nando ke ghar phone kiya. Aur poocha ki didi ye aapke ghar aayen hain.  didi boli nahi toh. Kyon, kya hua? neelu boli, kuch nahi didi, pata nahi subah-subah uthkar kahan chale gaye hain. kuch batakar bhi nahi gaye. aur abhi tak Koi phone bhi nahi aaya.  Maaji bahut pareshaan ho rahi hain. mujhe bhi chinta lagi hai. dopahar hone ko aai hai. nasta bhi nahi kiya hai. aur kabhi aise baigair bataye kahin jaate bhi nahi. Apna phone bhi saath le kar nahi gaye hain unhe kaise aur kahan contact karun samajh mein nahi aa raha hai.
Did boli kahin tum logon mein fir se kuch kaha suni toh nahi ho gayi. Neelu ne kaha nahi aisa kuch nahi hai. pichle paanch-saat dino se sab kuch cool chal raha tha. thik hai tum chinta mat karo aa jayega. Jaroor koi important kaam raha hoga. Jab aaye toh mujhe bhi ittalla kar dena. Ye kahkar didi ne phone rakh diya. shaam hote-hote neelu ne saare phone mila diye. Lekin shantunu ka kuch pata nahi chala. Thak haarkar neelu ek kone mein baith gayi aur rone lagi.
Ab phone aane ka silsila shuru hua. shantunu ghar aaya sab ka yahi sawal tha. raat hote-hote neelu ki dono nande aur uske maa-pitaji ghar pahunch gaye. Maa-pitaji ko dekh kar neelu jor-jor se rone lag gayi. Nando ko dekhkar saas ne bhi rona shuru kar diya. ab dono mein competition shuru ho gaya jaise ki ro kar ye jatana chahti hon ki kaun shantunu se jyada pyar karta hai. aur kisko uski adhik chinta hai.
Dono apne apno ko lekar apne-apne kamron mein chali gayi. Aur apne dukhde sunaane lagi. Raat ke das baj chuke they. shantunu ka kuch pata nahi tha. kya kiya jaaye? Kya police ko phone kar den. Thane mein report likha den par kahnege bhi toh kya? Koi doodh peeta hua bachcha thode hi hai jo kho gaya. balki ek doodh peete bachche ka baap hai.
Kaafi samajhdaar hai. kaafi smart, sundar, intelligent, shaant, responsible, hansmukh in sabhi khubiyon ko dekh kart oh neelu ke pita ne apni beti ka haath shantunu ke haath mein diya tha. par aaj kya hua uski samajhdaari ko. Koi apni vidhwa maa aur do saal ke bachche aur bibi ko chod kar is tarah jaata hai kya? Neelu aur uski saas mein fir ladai shuru ho gayi. Jab se aai hai jeena haram kar rakha hai. ghar ko panipat ka maidaan samjha hua hai.
Jab dekho jhagda-jhagda, ashaanti faila rakhi hai poore ghar mein. sanskaar naam ki koi cheese hi nahi. bado ka aadar karna toh jaanti hi nahi. hum umar ka lihaj nahi, pata nahi kaise parvarish hui hai. meri  toh kismet hi phooti hai pat nahi kahan fans gayi. Socha tha achchi sanskaari bahu aayegi ghar ko swarg banayegi. Teen jan toh they hum lekin aise kulakshni aai hai ki ghar ka satyanash ho gaya. rishtedaaron ne aana jaana chod diya. erre naukri karti hai toh kya hua? aajkal sabhi karte hain. mere bête ke jeevan ko nark bana diya hai. shayad isiliye……….. kahte-kahte rone lagi.
Ab baari thi bahu ki, jo itni der se saas ki  bak-bak sun rahi thi. ji toh chah raha tha ki budiya ki gardan maror de par hai ri bebasi kanoon iski ijajat nahi deta na. saara dosh mujh par mad do aap toh jaise doodh ki dhuli hain. ladke ki shaadi toh kar di par aaj tak apne pallu se baandh kar rakha hai. do pal hum saath baithte hai toh chaati par saanp lotne lagte hain. kahin aa-ja nahi sakte. ek-ek cheese ke liye ijajat leni padti hai. jab se iss ghar mein aayi hoon. Chaar diwaron ke kuch aur nahi dekha. Office se ghar aur ghar se office. Aur fir ghar mein kitchen ya fir saas ki chik-chik. Iss se toh achcha tha ki maut aa jaati. Agar ladke ko pallu se hi  baandh kar rakhna tha  toh uski  karne ki kya jaroorat thi.
Badi muskilon se dono ko chup karwaya. Aur ye decide kiya ki kal suba tak nahi aaya toh police mein report kar denge. Sabke sab raat ko wahin ruk gaye. Har koi sone ki koshish kar raha tha. lekin neend shayad us ghar ki chat se hokar nikal gayi. Sabki jahan mein shantunu hi ghum raha tha. har koi use apne tarike se yaad kar raha tha.
Maa----- kitna achcha beta tha mera. Sharvan kumar ko bhi maat deta tha. usne aaj tak kabhi bhi mujh se unchi aawaj mein baat nahi ki. Jab bhi main beemar padti toh ek taang par khada rahta tha. par jab se ye kulakshni aai hai. pata nahi kya jadoo-tona kar diya hai isne. Use cheenk bhi aaye toh achche-achche allopath doctor ko dikhata hai aur mahngi-mahangi angreji dawaiyaan laata hai. aur pichle shardiyon mujhe kitni khansi hui toh mujhe le gaya sarkaari homeopath doctor ke paas. Aur bahut kuch…………………………
Neelu------ shaadi ke baad ke 6 mahine kitne achche gujre they. sab kuch kitna achcha lagta tha. ye mera kitna khyal rakhte they. mujhe ek cheenk bhi aa jaati thi toh seedhe doctor ke paas le jaate they. kisi na kisi bahane se meri taarif karte they. kitna ghumna-firna hota tha par baad mein is budiya ne pata nahi kya vashikaran kar diya. iss baar jab maine hill station jaane ki baat kit oh bole nahi neelu maa ki tabiyat thik nahi hai unhe allopath suite nahi karti. Homeopath se dheere-dheere fayeda ho raha hai. kahin fir se na tabiyat kharab ho jaaye. Erre bahane banana ki kya jaroorat thi. seedhe mana kar dete. Jaroor budiya ne bhadkaya hoga. Maa ka gulam. Aur bahut kuch………………………..
Kusum badi didi------ shantunu toh  itna laparwah nahi tha. fir aaj achanak kya ho gaya . us se badi hone ke baad bhi, ek alag si respect thi uske liye. Pitaji ke dehaant ke baad usne kabhi bhi aisa nahi lagne diya ki pitaji nahi rahe. hamaari har jaroorat ka dhyan rakhna hamaari khushalta aur hamaare shuk-dukh ka hamesha khyal rakhta tha. use laparwah bhi toh nahi kah sakti. Haan kuch dino se pareshaan tha.
Par apni pareshaani ko kisi ke saamne jaahir bhi toh nahi hone deta tha. par kuch baaten toh chupaay bhi nahi chupti. Phir jaise ki maa ki baaton se pata chalta hai ki ghar mein aaye din kalah hota rahata tha. shayad us se hi pareshaan rahta hoga. Ye thik kahte hain, ki aurat chahe toh ghar bana bhi sakti hair aur chahe toh mita bhi sakti hai. jo aurat apne sasuraal ke rang mein rang jaati hai. unki khusi mein khus rahti hai. apne aap ko unke anusaar dhal leti hai. woh hamesha khus rahti hai aur unke ghar aur Dillon par raaj karti hai. lekin jo in basic rules ko follow nahi karti woh khud bhi dukhi rahti hai aur auron ko bhi dukhi karti hai. shayad inhi baaton ko dyan mein rakhte hue pahle jamaane mein ladkiyon ki shaadi  jaldi kar diya karte they.
Kyonki choti umar mein changes kar pana aasan hota hai. ladki apne aapko sasuraal ki tarah dhal liya karti thi. aur fir dhalna bhi ladkiyon ko hi hota hai. ise chaho toh vidambana kaha ya fir kuch  aur. Par logically dekha jaaye toh sahi bhi tha.  ab ek ke anusaar chaar badle iss se toh achcha hai ki chaar ke hisaab se ek  badal jaaye.
Badi umar mein ladki ki apni ek soch kayam ho jaati hai.  aur fir woh use badalna nahi chahti. Aur jo badalne ki koshish karti hain. unhe bhi kaafi samay lgag jaata hai. aaj kal toh late marriages ka chalan sa ho gaya hai.  lekin gambhirata se dekhen to late marriages ke kuch dushparinaam bhi hain. aur shayad isiliye aaj kal ki shaadiyan jyada tik nahi paati. Sabki expectations bad gayi hain. jitna jyada expectation utna jyada dukhi. Har koi lena jaanta hai dena koi nahi.
Jyada age yaani jyada samajhdaari  phir shaadi bhi jyada achche tarike se nibhani chahiye par ho toh ulta raha hai.  shaadiyan pahle ke banispat jyada tut rahi hain. neelu shaadi ke samay 25 ki aur shantunu 28 ka tha. aaj ke hisaab se toh umar bilkul thik hai par 25 ki umar mein badlav aasaan nahi. par shayad samajhdaari se kaam liya ja sakta tha. par na samajhdaari barti neelu ne aur na maa ne. in dono ke jhute ahmoon ki wajah se humne apna bhai kho diya.
Woh jaroor in dono ki kalah ki wajah se chala gaya. woh bechara bhi kya karta. Chakki ke do paato ke beech pis kar rah gaya tha. na maa ko chod sakta tha aur na bibi ko. Na maa use samajh saki aur na biwi. Par kya usne thik kiya. Nahi use aisa nahi karna chahiye tha. woh toh ek responsible ladka hai. fir itna laparwah kaise ho gaya. nahi mera bhai toh laparwah nahi tha. phir haan, nahi , haan,nahi ………..…..  
Sumun shantunu ki choti bahan------- shantunu, suman ko bahut pyar karta tha. dono ek saath bade hue. Dono mein anter bhi keval do saalon ka. Dono bhai bahan kam aur dost jyada. Suman ki shaadi mein kitna roya aankhe suj gayi thi shantunu ki. Dono ek-doosre ko dil ki har ek baat bata te they. har sukh-dukh ko share karte they.
Aaj ek suman hi thi jo chaain ki neend so rahi thi.

**************